Dard Bhari Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Dard Bhari Shayari Poetry. Feel free to add your own Dard Bhari Shayari Shayari here.

Dard Bhari Shayari Collection

Dard Bhari Shayari is enriched with unhappiness, sorrowness and deep distress. People read Dard Bhari Shayari when they are hugely upset. This unhappiness can be of any kind, reading Dard bhari shayari makes us all feel a little better.



Ajab Din Raat They Meray. . !

Dard Bhari Shayari

Ajab halaat thy meray, Ajab din raat thy meray. .
Magar mein mutma’inn tha is liye, tum sath thy meray. .

Meray zar k talab’gaaro’n ki nazrain aisay uthti thee’n. .
K laakho’n ungliyan thee’n aur hazaro’n hath thy meray. .

Mein ik pathar ka gard aalood but tha in mandiro’n mein. .
Na dil tha mery seenay mein, Na kuch jazbaat thy meray. .

Kisi se aur kia ta’eed ki umeed mein rakhta?
Wohi khamosh thy jo mehram-e-halaat thy meray. .

Mein jin sho’lon mein jalta tha usey tum bhi nahi samjhay. .
Mera dil mukhtalif tha, Mukhtalif sadmaat thy meray. .

Mujhy mujrim bana kar rakh diya jhootay gawaho’n ne. .
Sabhi radd ho gaye jitney bhi ilzamaat thy meray. .

Tasawwur ban gaya tasweer, aakhir aik din ‘Sajid’
Isi ka khauf tha mujh ko, yehi khadshaat thy meray. . !



Bujha K Rakh Diya Humain. . . !

Dard Bhari Shayari

Kisi ne dil k taaq per jala k rakh diya humain
Magar, hawa-e-hijr ne, bujha k rakh diya humain

Hazaar hum ne zabt se liya tha kaam, kia karain
Kisi k aansuo’n ne phir rula k rakh diya humain

Hamari shohratai’n kharab is tarha bhi us ne kee’n
K apny aashano’n se mila k rakh diya humain

Hum is anjuman mein jany us ne kyun bula liya
Bula liya aur ik taraf bitha k rakh diya humain

Faqat hum aik daikhny ki cheiz ban k rah gaye
Kisi ne aisa ishq mein bana k rakh diya humain

Hum ‘Aitbar’ us ki har shikast mein shareek thy
Magar bisaat se alag utha kar rakh diya humain. . !



Akela Kamra. . !

Dard Bhari Shayari

Dharkan dharkan yaado’n ki baraat akela kamra. .
Mein aur mery zakhmi ehsasaat akela kamra. .

Gaye dino’n ki tasweer’on k bujhtay huay naqoosh. .
Taaza, tark-e-ta’alluq k sadmaat akela kamra. .

Dosh-e-hawa per urrney walay khiza’n k aakhri pattay. .
Apni akeli jan, gam-e-halaat akela kamra. .

Akhri shab k chand se karna, balcony mein baatain. .
Us k sheher mein hotel ki ye raat, akela kamra. .

Meri sisakti awazo’n se goonjti hain deewar’ain. .
Sunta hai din raat, mery naghmaat akela kamra. .

Sab samaan ba’hum hain ‘Sajid’ likhny likhanay kay. .
Khoon-e-jigr aur aansu, dil ki dawaat, akela kamra . . !



Kabhi Tu Ne Bhi Socha Hai K Ye Pyaas Hai To Kyun Hai?

Dard Bhari Shayari

Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kyun hai?
Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai?

Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua’n dhua’n sa mosam
Ye hawa-e-shaam-e-hijraa’n mujhy raas hai tou kyun hai?

Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein
Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai?

Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera
Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai?

Mery tan-bar’hana dushman isi gham mein ghul rahy hain
K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai?

Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar
Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai?

Tera kis ne dil bujhaya, Mery ‘Aitbaar Sajid’
Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai ? ?



Jaan-e-Aziz Saath Hain. . !

Dard Bhari Shayari

Yun to teri mohabbat’ain jaan-e-aziz sath hain
Apni bhi kuch qabahat’ain jaan-e-aziz sath hain

Sirf ye ik ghazal nahi, is mein hain kuch safaiyan
Ishq ki kuch wazahat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Jism hi manzil, talab apny khayal ki nahi
Aur bhi kuch zarurat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Apny liye to aik bhi, lamha jaan-e-fiza nahi
Apni kahan rafaqat’ain jaan-e-aziz sath hain

Aisay bandhay hua hain hum, sham-o-seher ki dor mein
Apni tamam kulfat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Tum bhi ho is se ba-khabar, hum hain kahan k mo’tabar
Apni tamam qeemat’ain, jaan-e-aziz sath hain

Dil tou behel hi jaye ga, tanha safar mein hum nahi
Guzri hui kaee rut’ain, jaan-e-aziz sath hain. . . !



Dhoop Gharri Ka Daur Bhi Kitna Acha Tha. .

Dard Bhari Shayari

Dhoop Gharri ka daur bhi kitna acha tha. .
Wakt ka dariya pao’n k neechy behta tha. .

Meine aankhain mond’een aur dum saadh liya
Aik parinda kandhay per aa betha tha. .

Sabit hain ab tak phoolo’n k do surkh nishan
Khuwab mein kis ne mera maatha chooma tha. .

Barhti umer k sath khulay israar us kay
Kitna zaalim thaw o hijr jo pehla tha. .

Jab apny itraaf mein bheer ka shor suna
Tab mujh ko ehsaas hua mein tanha tha. .

Hijr k us lamhay per ab tak naadim hun
Tark-e-ta’alluq ki baabat jab socha tha. .

Khaak urraatey phirtey hain ab khaak nashee’n
Ik din kehkasha’n per pao’n na tikta tha. !



Hum Tou Samjhy Thy K Ik Zakhm Hai Bhar Jaye Ga. . !

Dard Bhari Shayari

Hum tou samjhy thy k ik zakhm hai bhar jaye ga
Kia khabar thi k rag-e-jaa’n mein uter jaye ga. . !



Mohtaaj Humsafar Ki, Musaafat Na Thi Meri. . !

Dard Bhari Shayari

Mohtaaj humsafar ki, musafat na thi meri
Sab sath thy magar, kisi se rafaqat na thi meri

Haq kis se maaangta k makeeno’n k sath sath
Deewar-o-baam-o-dar ko zarurat na thi meri

Such bol k bhi dekh liya un k saamney
Lekin unhein pasand sadaqat na thi meri

Mein jin pe marr mita tha wo kaghaz k phool thy
Rasmi mukaalmay thy, muhabbat na thi meri

Jo dusro’n k dukh thy wohi mery dukh bhi thy
Kuch aisay mukhtalif bhi hikayat na thi meri

Bus kuch asool thy jo bahar-haal they aziz
Janam! Kisi se warna adawat na thi meri. . !



Mat Us Khuwab K Peechay Bhago!

Dard Bhari Shayari

Mat us khuwab k peechay bhago!
Pathar ban kar rah jao gi. .

Taiz bohot hai wakt ka dariya.
Tum bhi is mein bah jao gi. .

Ye nashtar jaisi ruswai. .
Bolo! Kaisay sah jao gi?

Kia bacho’n jesi baato’n se
Tum sab ko behla sakti ho?

Kia tum apnay mann ki mantaq
Duniya ki suljha sakti ho?

Khuwabo’n jesi baatain kar k
Kia taabeer’ain paa sakti ho?

Baap ki shafqat, maa’n ki mamta
Kia such much thukra sakti ho?

Jis ghar mein parwaan charhi tum
Us ko chorr k aa sakti ho?

Aisi batain na-mumkin hain
Bus tum apni tanhai mein. .
Hijr k geet hi gaa sakti ho!



Tujhy Bhula K Jiyu’n. .

Dard Bhari Shayari

Tujhy bhula k jiyu’n, aisi bad-dua bhi na de
Khuda mujhy ye tahammul, ye hosla bhi na de

Meray bayan-e-safaai k darmian mat bol
Sunay baghair mujhy, apna faisla bhi na de

Ye umer meine tery naam be-talab likh di
Bhalay se daman-e-dil mein kahin jaga bhi na de

Ye din bhi aaingy, aisa kabhi socha na tha
Wo mujh ko dekh bhi lay aur muskura bhi na de

Ye ranjish’ain to muhabbat k phool hain ‘Sajid’
Ta’aluqaat ko is baat per ganwa bhi na de. . !


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dard Bhari Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari