Dard Bhari Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Dard Bhari Shayari Poetry. Feel free to add your own Dard Bhari Shayari Shayari here.

Dard Bhari Shayari Collection

Dard Bhari Shayari is enriched with unhappiness, sorrowness and deep distress. People read Dard Bhari Shayari when they are hugely upset. This unhappiness can be of any kind, reading Dard bhari shayari makes us all feel a little better.



Zinda Nazam By ‘Aitebar Sajid’

Dard Bhari Shayari

Saalgirah ka card mila hai mujh ko uski beti ka

Khushi k is moqay per us ne ik ruqa bhi likha hai

“Aap please, zaroor aain aur achi si ik nazam

Meri beti ki khatir likh la’in

Nazam tarannum se parhiye ga

Jaisy dard ki lay mein doob k apni ghazal’ain parhty they”

Tab se ab tak soch raha hoon

Nazam likhu’n ya apni zinda nazam ki ungli pakray

Is taqreeb mein jaon

Us se mil k kahu’n lo dekho!

Tameel irshad to meine kar di hai

Lekin ye meri nazam nahi mera beta hai. . !



Boht Sajaye They Aankho’n Mein Khuwab Meine Bhi!

Dard Bhari Shayari

Boht sajaye they aankho’n mein khuwab meine bhi
Sahay hain us k liye ye azab meine bhi. .

Judai’on ki khalish us ne bhi zahir na ki
Chupaye apny ghum-o-iztaraab meine bhi. .

Diye bujhaye k sar-e-shaam so gaya tha wo
Bitai so k shab-e-mahtaab meine bhi. .

Yehi nahi k mujhy us ne dard-e-hijr diya
Judai’on ka diya hai jawab meine bhi. .

Kisi ne khoon mein tar choori’an jo bheji hain
Likhi hai khoon-e-jigar se kitaab meine bhi. .

Khiza’n ka waar bhi kaar’gar tha dil per magar
Boht bacha kar rakha ye gulab meine bhi. . !



Bil-Aakhir Ye Haseen Manzar Mita Dena Hi Parta Hai!

Dard Bhari Shayari

Bil-aakhir ye haseen manzar mita dena hi parta hai
Kisi k sir ko shanay se hata dena hi parta hai

Kisi dair aashna ko jhootay sachay kuch hawalo’n se
Ta’aruf k liye sab se mila dena hi parta hai

Jo sanso’n mein mehektay hain jo aankho’n mein damakty hain
Achanak aik din un ko bhula dena hi parta hai

Diye jo hum jalatay hain nihayat shauq se har shab
Unhein khud apni phoonko’n se bhuja dena hi parta hai

Koi jab poochta hai hum se, kaisa haal hai ‘Sajid’
Humain mohtaat ho kar muskra dena hi parta hai

Chamak uthtey hain ‘Sajid’ jab sitaray us ki palko’n per
Usey dil se laga kar hosla dena hi parta hai. . !



Muhabbat Mein Muhaabbat Ki Safai De Rahy Hain Hum!

Dard Bhari Shayari

Muhabbat mein muhaabbat ki safai de rahy hain hum
Ajab aashiq hain, azar aashnai de rahy hain hum

Hamary haal per jana’n boht khush fehm mat hona
Dikhanay k liye aisay dikhai de rahay hain hum

Koi tohfa tumhein dena to tha apni muhabbat ka
Tumhain lo, aaj zakhm-e-aashnai de rahy hain hum

Hamary rat-jago’n ka tum ko kuch ehsas to ho ga
Dam-e-rukhsat, tumhein sham-e-judai de rahy hain hum

Jinhain khoon-e-jigr se paish ro tehreer karty thy
Ab in lafzo’n ko dil ki roshnai de rahy hain hum

Hum itny shor mein sab se mukhatib bhi nahi ‘Sajid’
Jo sun sakty hain bus unko sunai de rahy hain hum. . !



Tujhy Itteafaq Se Ird Gird K Log Achay Nahi Milay. .

Dard Bhari Shayari

Tujhy itteafaq se ird gird k log achay nahi milay
Magar is dayaar-e-umeed k makee’n to itny buray nahi

Mery lawn mein jo chamak uthay kai rang dhoop ki shaal per
To mein darr gaya k bahar mein kabhi phool itny khilay nahi

Hum ajab musafir-e-dasht thy k chalay to chaltay chalay gaye
Kisi aab’jo ki sadaa pe kahi’n rastay mein rukay nahi

Hai gali k khambo’n pe muntazir ye qataar chirriyon ki dair se
Abhi parda posh hain khirkiyan, abhi log so k uthay nahi

Humain khud jalaye gi ye hawa, ye jo idhar se guzri hai taiz paa
Teri anjuman k charagh hain k dhuan huay hain bujhay nahi

Kai aur ehl-e-talab milay mujhy raah shauq mein hum qadam
Jinhain kar raha tha talash mein, wohi log mujh ko milay nahi. . !



Ye Nahi K Saray Jahan Mein Humsafar Hi Nahi Mila. .

Dard Bhari Shayari

Ye nahi k saray jahan mein humsafar hi nahi mila
Sabhi ‘Aitbar’ k sath thy, koi mo’tabar hi nahi mila

Meri nabz choo k to dekhta k shikasta dil ki sadaa hai kia
Mera la-ilaaj marz na tha, koi chara gar hi nahi mila

Kabhi sheher chaan liye gaye, kahi’n khaimay taan liye gaye
Jisay dekhta tha mein khuwab mein, mujhy wo nagar hi nahi mila

Mujhy wo makee’n hi nahi milay jinhain meri zaat se pyar ho
Jisy apna ghar mein samajh saku’n, mujhy aisa ghar hi nahi mila

Raha muztarib mera shauq bhi mera sajda karny ka zauq bhi
Mujhy sang-e-rah to boht milay, Tera sang-e-dar hi nahi mila

Sabhi apny apny giroh k, gham-aarzu ka shikar thy
Kisay mein dikhata ye zakhm-e-dil, koi deeda war hi nahi mila



Wo Muhbbatain Mujhy Chahiyain. .

Dard Bhari Shayari

Meri rooh mein jo uter sakain wo muhbbatain mujhy chahiyain
Jo saraab hon na azab hon, wo rafaqat’ain mujhy chahiyain

Kahin mil sakain to samait lo mery roz-o-shab ki kahaniyan
Jo ghubar-e-wakt mein chup gaeen, wo hikayatain mujhy chahiyain

Jo meri shab’on k charagh thy, jo meri umeed k baagh thy
Wohi log hain meri aarzu, wohi soorat’ain mujhy chahiyain

Teri qurbat’ain nahi chahiyain meri shayari k mizaj ko
Mujhy faaslo’n se dawaam de, teri furqat’ain mujhy chahiyain

Mujhy aur kuch nahi chahiye ye duain hain mery saae’baan
Karri dhoop mein kahi’n mil sakain to yehi chatain mujhy chahiye. .



Bus Yunhi Chup Ho Jata Hoon !

Dard Bhari Shayari

Koi aisa gehra dukh bhi nahi
Jisay dukh samnjhoo’n
Aur tum se kahoo’n

Bus Yunhi Chup Ho Jata Hoon

Kisi ujray ghar ki mamti per
Jab sham dhalay
Kisi cheel ko sir nehuwrraye huay mein paata hoon
Kho jata hoon
Tum poochtay ho : Koi dukh tou nahi?
Mein aik nazar tumhain dekhta hoon
Aur kehta hoon
Koi aisa gehra dukh bhi nahi
jisay dukh samjhoo’n
Aur tum se kahoo’n
Jab dekhta hoon aisa manzar
Mein maazi mein kho jaata hoon

Bus Yunhi Chup Ho Jata Hoon. . !



Lagta Hai Kisi Dil Mein Muhababt Nahi Meri. .

Dard Bhari Shayari

Lagta hai kisi dil mein muhababt nahi meri
Is ghar mein kisi ko bhi zarurat nahi meri

Kaghaz pe hai bus in dar-o-deewar se rishta
Jo saaya-e-figan sir pe hai wo chat nahi meri

Har shakhs ki nazro’n mein mery daam alag hain
Maloom hai mujh ko, koi qeemat nahi meri

Rassmi sa hai is sheher k logo’n se ta’alluq
Barso’n huay khood se bhi rafaqat nahi meri

Mein jin k liye khaak basar dasht mein bhatka
Tasleem unhein bhi ye mushaqqat nahi meri

Ye kah k meri neend, Meray khuwab bhi cheenay
Mujh se unhein darkaar ijazat nahi meri

Wo surat-e-zar maang rahy hain mery ash’aar
Matloob unhein kaghazi shohrat nahi meri . . !



Ye Kia Haalat Bana Rakhi Hai?

Dard Bhari Shayari

Ye kia haalat bana rakhi hai? Ye aasaar kaisy hain?
Boht acha bhala chora, ab beemar kaisy hain?

Wo mujh se poochny aai hai k kuch likha nahi’n mujh per?
Mein us ko kaisy samjhaun, mery ash’aar kaisy hain?

Meri sochain hain kesi, kon in soch’on ka markaz hai
Jo mery zehn mein paltay hain wo afkaar kaisy hain

Mery dil ka alaao aaj tak dekha nahi’n jis ne
Wo kia janay k sholay surat-e-izhaar kaisy hain

Ye mantaq kon samjhay ga k yakh kamray ki thandak mein
Mery alfaaz k malboos shola baar kaisy hain

Zara si aik farmaish bhi poori kar nahi’n sakty
Muhabbat karny walay log bhi la-chaar kaisy hain

Judai kis tarha bartao hum logo’n se karti hai
Mizaaj’an hum sukhanoor be-dil-o-be-zaar kaisy hain. . !


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dard Bhari Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari