Dard Bhari Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Dard Bhari Shayari Poetry. Feel free to add your own Dard Bhari Shayari Shayari here.Dard Bhari Shayari Collection
Dard Bhari Shayari is enriched with unhappiness, sorrowness and deep distress. People read Dard Bhari Shayari when they are hugely upset. This unhappiness can be of any kind, reading Dard bhari shayari makes us all feel a little better.
Guftugu kisi se ho, tera dehan rehta hai. .
Dard Bhari Shayari
Guftugu kisi se ho, tera dehan rehta hai
Toot toot jata hai silsila takallum ka. . !
Aanay Wali Thi Khizaa’n. .
Dard Bhari Shayari
Aanay wali thi khizan, maidaan khali kar diya
Kal hawa-e-shab ne sara lawn khali kar diya
Hum tery khuwabo’n ki jannat se nikal kar aa gaye
Dekh, tera qasar-e-aali shaan khali kar diya
Dushmano’n ne shist baandhi Khaima-e-umeed per
Dosto’n ne darra-e-imkaan khali kar diya
Bantney nikla hai wo phool’on k tohfay sheher mein
Is khabar per hum ne bhi guldaan khali kar diya
Le gaya wo sath apny, Dil ki sari ronaq’ain
Kis qadar ye sheher tha gunjaan khaali kar diya
Saari chirri’an urr gaee’n mujh ko akela chorr kar
Mery ghar ka sehen aur daalaan khali kar diya
Diary mein saray achy sher chunn kar likh liye
Aik larki ne mera deewan khali kar diya. . !
Go dil-shikan hain unki taghaful shoari’an. .
Dard Bhari Shayari
Go dil-shikan hain unki taghaful shoari’an
Is per mujh ko un se muhabbat hai kia karun. .
Wish Card. . !
Dard Bhari Shayari
Tu ne wish card bhej kar mujh ko
Yaad kitny dila diye mosam
Mery bahar badal diya manzer
Mery ander saja diye mosam
Farq baqi nahi rakha tu ne
Mosamo’n mein mila diye mosam
Sochta houn k apni furqat mein
Tu ne kaisy bana diye mosam
Bacho’n jesi thi teri zid jana’n
Tu ne yunhi ganwa diye mosam
Mom bati na thi k pal bhar mein
Phoonk mari aur bujha diye mosam. . !
Kisi Din Tujh Se Milney Ka Bahana Dhoond Laity Hain. .
Dard Bhari Shayari
Kisi din tujh sey milney ka bahana dhoond laity hain
Chalo, kuch saal pehlay ka zamana dhoond laity hain
Andhera kitna hi gehra ho, raat’ain kitni kaali hon
Parindey apna apna aashiyana dhoond laity hain
Kai dar khul jatay hain jo ik dar band hota hai
Hum aisay log apna aab-o-daana dhoond laity hain
Chat’ain jin k sar’on se cheen li jati hain wo be-ghar
Kahi’n bhi sir chupanay ka thikana dhoond laity hain
Galay hum se bhi aa lagta hai koi dard ka maara
Kisi dil sokhta ka hum bhi shaana dhoond laity hain
Khuda mehfooz rakhay, in ki zid pe hum na aajain
Shikari apney matlab ka nishana dhoond laity hain
Ana ki jang mein akhir bharam qaim bhi rakhna hai
To youn karty hain, rasta darmiyana dhoond laity hain. . !
Guzar gaya jo kai baar. .
Dard Bhari Shayari
Guzar gaya jo kai baar be-niazana. .
Wo shakhs bhi hai meri umer-e-be’talab ki tarha. . !
Phir Wohi Dil Ki Haalat Hai. .
Dard Bhari Shayari
Phir wohi lambi dopeherain hain, Phir wohi dil ki haalat hai
Bahir kitna sannata hai, Ander kitni wehshat hai. .
Sham karain kaisy is din ki, Thandi surat dekhain kin ki
Idhar udhar to dhua’n urati, aag ugalti khalqat hai. .
Jis ko hum ne chaha tha wo kahi’n nahi is manzar mein
Jis ne hum ko pyar kiya wo saamney wali moorat hai. .
Phool babol k achay hain lekin sakat tasweero’n mein
Sach much k sehra’on ki tou is dil jaisi surat hai. .
Tery baad dukano’n per ja kar poochta rehta hoon
Kia wo khushbu mil sakti hai ab us ki kia qeemat hai?
Baray baray sapney nahi’n boye meine apny aangan mein
Nanhi munhi khushi’an hain, Meri choti si ik jannat hai. . !
Guzray hain aaj ishq mein hum us maqaam se
Dard Bhari Shayari
Guzray hain aaj ishq mein hum us maqaam se
Nafrat si ho gai hai muhabbat k naam se. . !
“Jaan-e-man! Mehsoos mat karna magar
Dard Bhari Shayari
Kitni aasani se us ne likh diya
“jaan-e-man! Mehsoos mat karna magar
In dino’n beemar bhi hoon aur kuch haalaat bhi achy nahi
Raat din socho’n mein gum rehti hoon mein
“Tum” rehti hoon mein
Ik guzarish hai bura mat manna
Mery khat aur meri tasweer’ain tamaam
Mujh ko wapis bhej do
Meri mangni honay wali hai, boht majboor hoon”
Us ki tasweerain aur us k khat tamaam
Meine chun chun kar rawana kar diye
Us ne phir likha k sari zindagi
Apni tehreer’on, tasweer’on ki surat mein sadaa
Ab tumhain dekhungi mein
Apni sanso’n k boht nazdeekh paungi tumhain
Doosro’n k wastay mein bhool jaungi tumhain . . !
Gulshan parast hoon mujhy gul hi nahi aziz
Dard Bhari Shayari
Gulshan parast hoon mujhy gul hi nahi aziz
Kaanto’n se bhi nibah kiye ja raha hoon mein.
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dard Bhari Shayari.