Dard Bhari Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Dard Bhari Shayari Poetry. Feel free to add your own Dard Bhari Shayari Shayari here.

Dard Bhari Shayari Collection

Dard Bhari Shayari is enriched with unhappiness, sorrowness and deep distress. People read Dard Bhari Shayari when they are hugely upset. This unhappiness can be of any kind, reading Dard bhari shayari makes us all feel a little better.



Kuch Wo Bhi Dukhi Dil Liye Aaya Tha Mery Paas. .

Dard Bhari Shayari

Ab tak na samajh paaye mera shor-e-fugha’n bhi
Tum log tou parh laity ho aankho’n ki zuba’n bhi

Khat is liye shayad mujhy ab tum nahi’n likhtey
Kaghaz pe uter aatey hain saanso’n k nisha’n bhi

Seenay ki ghutan mein kabhi rukti nahi aah’ain
Kamray se nikalney ko machalta hai dhua’n bhi

Shohrat se faqat is liye aata hai mujhy khauf
Mash’hoor na ho jaye mera zakhm-e-neha’n bhi

Is dard k rishtey mein tou yaksaa’n hain shab-o-roz
Jo haal tumhara hai wo aalam hai yahan bhi

Kuch wo bhi dukhi dil liye aaya tha mery paas
Kuch dard bhara tha mera andaz-e-bayaa’n bhi. . !



Utri Hai You’n Judai’on,Tanhai’on Mein Shaam. . !

Dard Bhari Shayari

Utri hai you’n judaiyo’n, tanhaiyo’n mein sham
Jaisy ujaar sheher ki angnaiyo’n mein sham. .

Rangeen qamqamo’n ka sahara liye huay
Sehmi hui hai sheher ki ra’naai’on mein shaam

Kamro’n mein band, hijr k gosha nasheen tery
Kab dhoondtay hain apni pazeerai’on mein sham

Hum sokhta dilo’n ki tumhain kia khabar k hum
Kaisay guzar laity hain tanhai’on mein sham

Ae akhri kiran! Mujhy ghar tak tou chorr de
Ab dhal rahi hai doobti parchaai’on mein shaam

Na-aashna hujoom mein khoye huay they hum
Guzri hai aaj aisi shanasaai’on mein sham. . !



Tu Jis Ka Mustahiq Tha Wo Chahat Na Di Tujhey. . !

Dard Bhari Shayari

Naadim hoon mein ne koi bhi rahat na di tujhy
Tu jis ka mustahiq tha wo chahat na di tujhy

Apny hi roz-o-shab k jhamelo’n mein gum raha
Jis per tera tha haq wo rafaqat na di tujhy

Tu paas tha tou meri anaa k ghuroor ne
Pathar k aik but ki bhi wuq’at na di tujhy

Dariya tha mein khuloos ka har shakhs k liye
Per boond bhar bhi meine muhbabbat na di tujhy

Kaghaz k qamqam’on ko jalanay k shauq mein
Afsos, koi sham-e-rafaqat na di tujhy

Tu sochta tou ho ga k shayar k piyar ne
Apni kisi ghazal ki bhi surat na di tujhy

Mein kia karu’n k meray both se azaab they
Bus is liye kabhi koi zehmat na di tujhy. . !



Makeen Khush They K . .

Dard Bhari Shayari

Makeen khush they k jab band they makano’n mein. .
Khulay kawaarr tou taalay parray zabano’n mein. . !



Mujh Se Mukhlis Tha Na Waakif Mery Jazbaat Se Tha. .

Dard Bhari Shayari

Mujh se mukhlis tha na waakif mery jazbaat se tha. .
Us ka rishta to faqat apny mafadaat se tha. .

Ab jo bichra hai to kia ro’en judai pe teri. .
Ye andesha tou humain pehli mulaqaat se tha. .

Dil k bujhney ka hawao’n se gila kia karna?
Ye diya naza’a k aalam mein to kal raat se tha. .

Mein kharaabo’n ka makeen aur ta’alluq mera. .
Tery naatay kabhi khuwabo’n k mehal’aat se tha. .

Lab-kushaai pe khula us k sukhan ka iflaas. .
Kitna aarasta wo atlas-o-banaat se tha. . . !



Ye Barso’n Ka Ta’alluq Torr Dena Chahtay Hain Hum. .

Dard Bhari Shayari

Ye Barso’n ka ta’alluq torr dena chahtay hain hum. .
Ab apny aap ko bhi chorr dena chahtay hain hum. .

Kisi dehleez per aankho’n k ye roshan diye rakh kar. .
Zameer-e-subha ko jinjhorr dena chahtay hain hum. .

Jidhar hum ja rahy hain us taraf toota hua pul hai. .
Ye baag’ain is se pehlay morr dena chahtay hain hum. .

Ye naubat kal jo aani hai to sharminda nahi’n hongay. .
Marasam ehtiyaat’ann torr dena chahtay hain hum. .

Ajeeb deewangi hai jis k hum saaye mein baithay hain. .
Issi deewar se sir phorr dena chahtay hain hum. .

Ta’alluq kirchiyo’n ki shakal mein bikhra to hai phir bhi. .
Shikasta aaino’n ko jorr dena chahtay hain hum. . . !



Meri Zindagi Pe Na Muskura. . !

Dard Bhari Shayari

Meri zindagi pe na muskura, Mujhy zindagi ka alam nahi’n. .
Jisay tery ghum se ho waasta, Wo khizaa’n bahaar se kam nahi’n. . !



Khud Ko Kho Raha Hoon!

Dard Bhari Shayari

Mein takiye per sitaray bo raha hoon. .
Janam din hai, Akela ro raha hoon. .

Kisi ne jhank kar dekha na dil mein. .
K mein ander se kaisa ho raha hoon. .

Jo dil per daagh hain pichli ruto’n kay. .
Unhein ab aansuo’n se dho raha hoon. .

Sabhi parchaai’an hain saath lekin. .
Bhari mehfil mein tanha ho raha hoon. .

Mujhy in nisbato’n se kon samjha?
Mein rishtay mein kisi ka jo raha hoon. .

Mein chonk uthta hoon aksar baithay baithay. .
K jaisay jagtay mein so raha hoon. .

Kisay paanay ki khuwahish hai k ‘Sajid’
Mein rafta rafta khud ko kho raha hoon. . !



Mata-e-Dil Hi Bachi Thi Bus Ik Zamanay Mein. .

Dard Bhari Shayari

Mata-e-dil hi bachi thi bus ik zamanay mein
So hum usey bhi teri anjuman mein haar aaye. .



Wo Haal Hi Nahi’n Raha. . !

Dard Bhari Shayari

Wo pehli jaisi wehshatain, wo haal hi nahi raha. .
K ab tou shoq-e-rahat-e-wisaal hi nahi raha. .

Tamam hasrat’ain, har ik sawaal dafan kar chukay. .
Hamary paas ab koi sawaal hi nahi raha. .

Talash-e-rizq mein ye sham iss tarha guzar gaee. .
Koi hai apna muntazir, Khayaal hi nahi raha. .

In aatay jaatay roz-o-shab ki gardisho’n ko dekh kar. .
Kisi kay hijr ka koi malaal hi nahi raha. .

Hamara kia banay ga kuch na kuch tou iss pe sochtay. .
Magar kabhi humain ghum-e-maal hi nahi raha. .

Tumharay khaal-o-khad pe ik kitaab likh rahy thy hum. .
Magar tumhara husn be-misaal hi nahi raha. .

Sanwaarta, Nikhaarta mein kaisay apny aap ko. .
Tumharay baad apna kuch khayaal hi nahi raha. .

Zara si baat se dilo’n mein itna farq aa gaya. .
Ta’alluqaat ka tou phir sawaal hi nahi raha. .!


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dard Bhari Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari