Designed Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Designed Shayari Poetry. Feel free to add your own Designed Shayari Shayari here.

Designed Shayari Collection

Designed Poetry is a form of poetry which is in the form of picture. This kind of Urdu Designed Poetry is made up in photoshop. This is a pure art, to represent your thoughts in a picture. Designed Poetry is hugely popular in pakistan, people love reading Designed Poetry because its not in text so its not boring to read. This is often called Urdu Picture Poetry.



Aage aage dekhiye hota hai kya..

Designed Shayari

aage aage dekhiye hota hai kya

Raah-e-duur-e-ishq main rota hai kya,
Aage aage dekhiye hota hai kya,

Qaafile main subh ke ik shor hai,
Yaani ghaafil hum chale sota hai kya,

Sabzz hoti hi nahin yeh sarzameen,
Tukhm-e-khawish dil main tu bota hai kya,

Yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin,
Daaagh chaati ke abass dhota hai kya,

Ghairat-e-yusuf hai yeh waqt-e-aziz,
Meer is ko raayegan khota hai kya..



Us ne sukuut-e-shab main bhi apna qayaam rakh diya..

Designed Shayari

aur faraz chahiyen kitni mohabten tujhe

Us ne sukuut-e-shab main bhi apna payaam rakh diya,
Hijr ki raat baam pr mah-e-tamaam rakh diya,

Aamad-e-dost ki naveed ku-e-wafaa main aam thi,
Main ne bhi ik charaagh sa dil sar-e-shaam rakh diya,

Shiddat-e-tishnagi main bhi ghairat-e-mai-kashi rahi,
Us ne jo phair li nazar main bhi jaam rakh diya,

Us ne nazar nazar main hi aise bhale sukhan kahe,
Main ne to us ke paaon main sara kalaam rakh diya,

Dekho yeh mere khawab they dekho yeh mere zakham hain,
Main ne to sab hisaab-e-jan bar-sar-e-aam rakh diya,

Ab ke bahaar ne bhi keen aesi sharaarten ke bas,
Kabk-e-dari ki chaal main tera khiraaam rakh diya,

Jo bhi mila usi ka dil halqa ba-gosh-e-yaar tha,
Us ne to saare sheher ko kar ke ghulaam rakh diya,

Aur faraz chahiyen kitni mohabten tujhe,
Maaon ne tere naam pr bachon ka naam rakh diya..



Dil tamanna se ddar geya janam..

Designed Shayari

jaun elia poetry

Dil tamanna se ddar geya jaanam,
Sara nasha utar geya jaanam..



Jab pyaar nahin hai to bhulaa kyun nahin dete..

Designed Shayari

hasrat jaipuri poetry

Jab pyaar nahin hai to bhulaa kyun nahin dete,
Khat kis liye rakhhe hai jalaa kyun nahin dete,

Kis vaaste likha hai hatheli pe mera naam,
Main harf-e-ghalat hoon to mittaa kyun nahin dete,

Lillaah, shab-o-roz ki uljhan se nikaalo,
Tum mere nahin ho to bataa kyun nahin dete,

Reh reh ke na tarrpao ae be-dard maseeha,
Hathon se mujhe zehr pilaa kyun nahin dete,

Jab us ki wafaaon pe yaqeen tum ko nahin hai,
Hasrat ko nigaahon se giraa kyun nahin dete..



Jis ne bhi mohabbat ki..

Designed Shayari

Anjaam wafa yeh hai

Anjam-e-wafa yeh hai jis ne bhi mohabbat ki,
Marne ki duaa mangi jeene ki sazaa paayi..



Haan meri mohabbat ka jawab aur zeyada..

Designed Shayari

asrarul haq majaz poetry

Barbaad-e-tamanna pe itaab aur zeyada,
Haan meri mohabbat ka jawab aur zeyada,

Royen na abhi ehl-e-nazar haal pe mere,
Hona hai abhi mujh ko kharaab aur zeyada,

Awaara o majnoon hi pe moquuf nahin kuch,
Milne hain abhi mujh ko khitaaab aur zeyada,

Uthenge abhi aur bhi tufaan mere dil se,
Dekhoon ga abhi ishq ke khawb aur zeyada,

Tapke ga lahuu aur mere deeda-e-tar se,
Dharrke ga dil-e-khana-kharaaab aur zeyada,

Hogi meri baaton se unhe aur bhi hairat,
Aayega unhe mujh se hijaab aur zeyada,

Usay mutrib-e-bebaak koi aur bhi naghma,
Ay saaqi-e-fayaaz sharaab aur zeyada..



Daagh duniya ne diye, zakham zamane se mile..

Designed Shayari

ik neya zakham mila aik nayi umar mili

Daagh duniya ne diye, zakham zamaane se mile,
Hum ko tohfe yeh tumhe dost banaane se mile,

Hum taraste hi taraste hi taraste hi rahe,
Woh falaane se falaane se falaane se mile,

Khud se mil jaate to chahat ka bharam reh jata,
Kya mile aap jo logon ke milaane se mile,

Maaan ki aghosh main kal maut ki aghosh main aaj,
Hum ko duniya main yeh do waqt suhaane se mile,

Kabhi likhvaane gaye khat kabhi parrhvaane gaye,
Hum haseenon se isi heelay bahaane se mile,

Ik neya zakham mila ek neyi umar mili,
Jab kisi sheher main kuch yaar puraane se mile,

Ek hum hi nahin phirte hain liye qisssa-e-gham,
Un ke khamosh labon par bhi fasaane se mile,

Kaise maanen ke unhe bhool geya tu ae kaif,
Un ke khat aaj humen tere sirhaane se mile..



Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin..

Designed Shayari

Safar-e-manzil-e-shabb yaad nahin,
Log rukhsat huye kab yaad nahin,

Avvaleen qurb ki sarshaari hain,
Kitne armaan they jo ab yaad nahin,

Dil main har waqt chubhan rehti thi,
Thi mujhe kis ki talabb yaad nahin,

Woh sitaara thi ke shabnam thi ke phool,
Ek surat thi ajab yaad nahin,

Kaisi viraan hai guzar-gaah-e-khayal,
Jab se woh aaariz-o-labb yaad nahin,

Bhoolte jaate hain maazi ke dayaar,
Yaad aaye bhi to sab yaad nahin,

Aisa uljha hoon gham-e-duniya main,
Ek bhi khawab-e-tarb yaad nahin,

Rishta-e-jaan tha kabhi jis ka khayaal,
Us ki surat bhi to ab yaad nahin,

Yeh haqeeqat hai ke ehbaab ko hum,
Yaad hi kab thay jo ab yaad nahin,

Yaad hai sair-e-charaaghan nasir,
Dil ke bujhne ka sabbab yaad nahin..

سفر_منزل_شب یاد نہیں - ناصر کاظمی



Umar kesse katti gi saif yahan..

Designed Shayari

umar kese katte gi

Umar kese katte gi Saif yahan,
Raat katt’ti nazar nahin ati..



Uski hassrat hai jise dil se mitaa bhi na sakoon..

Designed Shayari

us ki hassrat hai

Uski hassrat hai jise dil se mitaa bhi na sakoon,
Dhoondne us ko chala hoon jise paa bhi na sakoon,

Daal ke khaak mere khoon pe qaatil ne kaha,
Kuch yeh mehndi nahin meri ke chupaa bhi na sakoon,

Zabt kambakht ne yaan aa ke gala ghonta hai,
Ke usay haal sunaaun to sunaa bhi na sakoon,

Naqssh-e-pa dekh to loon laakh karoon ga sajde,
Sar mera arsh nahin hai jo jhukaa bhi na sakoon,

Bewafa likhte hain woh apne qalam se mujh ko,
Yeh woh qismat ka likha hai jo mitta bhi na sakoon,

Is tarah soye hain sar rakh ke mere zaanu par,
Apni soyi hui qismat ko jagaa bhi na sakoon..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Designed Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari