Urdu Poets

Ranjish.com has lots of Urdu Urdu Poets Poetry. Feel free to add your own Urdu Poets Shayari here.

Urdu Poets Collection

Urdu Poets are known to be great poets. Urdu Poets and their poetry is extremely popular over the urdu readers. We have collected almost every Urdu Poets Poetry here so you can read these urdu poetry and enjoy.



Yeh weham jaane mere dil se kyun nikal nahin raha.

Urdu Poets

yeh weham jaane mere dil se kyun nikal nahin raha,
ke us ka bhi meri tarah jee sambhal nahin raha,

koi warq dikha jo ashq-e-khoon se tarbatar na ho,
koi ghazal dikha jahan woh daagh jal nain raha,

main aik hijr-e-be-muraad jhailta hoon raat din,
jo aese sabr ki tarah hai jis ka phall nahin raha,

tou ab mere tamam ranj mustaqil rahen ge kya,
tou kya tumhari khamoshi ka koi hall nahin raha ?

kaRri musafton ne kis ke paon shall nahin kiye ?
koi dikhao jo bichaRr ke hath mall nahin raha..



Main kahin ja nahin raha lekin..

Urdu Poets

main kahin ja nahin raha lekin,
aap kya mere sath ayen ge ?

koi khiRrki khule gi raat gaye,
kayi apni muraad payen ge,

khul ke rone pe ikhteyar nahin,
hum koi jashn kya manayen ge ?

humen apni talash main mat bhej,
khaRri faslen ujaRr ayen ge..



Aap jaison ke liye is main rakha kuch bhi nahin..

Urdu Poets

aap jaison ke liye is main rakha kuch bhi nahin,
lekin aesa to na kahiye ke wafa kuch bhi nahin,

aap kahiye to nibhate chale jayen ge magar,
is talluq main aziyat ke siwa kuch bhi nahin,

main kisi tarah bhi samjhota nahin kar sakta,
ya to sab kuch hi mujhe chahiye ya kuch bhi nahin,

ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhoon,
maaan leta hoon ke us shakhss main tha kuch bhi nahin..



Jaate jaate teri adat bhi chali jaye gi..

Urdu Poets

Jaate jaate teri aadat bhi chali jaye gi,
koi din jata hai yeh cHhat bhi chali jaye gi,

ghar basaye ga koi chain se jeene ke liye,
aur marne ki sahulat bhi chali jaye gi..



Koi itna pyara kaise ho sakta hai..

Urdu Poets

oi itna pyara kaise ho sakta hai,
phir sare ka sara kaise ho sakta hai,

tujh se jab mil kar bhi udasi kam nahi hoti,
tere baghair guzara kaise ho sakta hai..



Tootne par koi aye to phir aesa toote..

Urdu Poets

tootne par koi aye to phir aesa toote,
ke jisse dekh kar har dekhne wala toote,

Tu ise kis ke bharose pe nahin kaaat rahi,
charkh ko dekhne wali tera charkha toote,

apne bikhre huye tukRron ko samaiTTe kab tak,
aik insan ki khatir koi kitna toote,

koi tukRra teri ankhon main na chubh jaye kahin,
door ho ja ke mere khawb ka sheesha toote,

main kisi aur ko sochon to mujhe hosh aye,
main kisi aur ko dekhon to yeh nasha toote,

pas bethe huye yaron ko khabar tak na hui,
hum kisi baat pe is darja anokha toote,

itni jaldi to sambhalne ki tawaqoh na karo,
waqt hi kitna hua hai mera sapna toote,

daad ki bheek na maang ae mere ache shayar,
ja tujhe meri dua hai tera kaasa toote,

warna kab tak liye phirte rahe is ko jawad,
koi surat ho ke umeed se rishta toote..



Tum agar seekhna chaho mujhe batlaa dena..

Urdu Poets

tum agar seekhna chaho mujhe batlaa dena,
aam sa fun to koi hai nahin tohfa dena,

aik hi shakhss hai jis ko yeh hunar ata hai,
rooth jane par fazaa aur bhi mehkaa dena,

bhaamp lena ke bohat waqt nahin us ke pas,
aur phir us ko kisi behas main uljha dena,

un bazurgon ka yehi kaam hua karta tha,
jahan khoobi nazar ayi use chamka dena,

husn duniya main isi kaam ko bheja gaya hai,
ke jahan aag lagi ho use bhaRrka dena,

dil batata hai mujhe aqal ki baatain kya kya,
banda pooche ke tera hai koi lena dena ?

Aur kuch yaad na rehta tha laRrayi main use,
haan magar mere guzishta ka hawala dena,

us ki fitrat main na tha tarq-e-talluq lekin,
dusre shakhss ko is nehj pe pohancha dena,

Janta tha ke bohat khaak uRraye ga meri,
koi asaan nahin tha use rasta dena,

yeh woh mansab hain jo apnon ko diye jate hain,
yaad kya rakhna aur bhula kya dena,

dil ka samaan koi khaak khareede us se,
yaad hi na rehta ho jise baqaya dena,

kya pata khud se chiRri jang kahan le jaye,
jab bhi yaad aon meri jaan ka sadqa dena,

baat karne se gurezan nazar ate hain lekin,
khatam hai hazrat-e-jawad pe luqma dena..



Dil par pyar ki mohar laga kar bheja hai..

Urdu Poets

dil par pyar ki mohar laga kar bheja hai,
dair se hum ne aaj usse ghar bheja hai,

hum bhi gaon main shaam ko betha karte thay,
hum ko bhi halaat ne bahar bheja hai,

warna aik hujoom tha dil darwaze par,
tum ko sab se pehle andar bheja hai,

kal ik dost to dil ka haal sunaya tha,
us ne mujhe tumhara number bheja hai ,

saari raat laga ke us pe nazm likhi,
aur us ne bas acha likha kar bheja hai..



Tu agar khush hai mere rone main..

Urdu Poets

tu agar khush hai mere rone main,
main wahan beth jaaon kone main,

dekhte ho yeh eent ka takiya,
aik arssa laga bhigone main,

jaag kar bhi tumhare khawb,
jaagne main maza na sone main..



Jo tere jaisa nahin lag sakta..

Urdu Poets

jo tere jaisa nahin lag sakta,
woh humen acha nahin lag sakta,

tu ne deewar ajab khenchi hai,
kahin darwaza nahin lag sakta..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Urdu Poets.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari