Urdu Poets

Ranjish.com has lots of Urdu Urdu Poets Poetry. Feel free to add your own Urdu Poets Shayari here.

Urdu Poets Collection

Urdu Poets are known to be great poets. Urdu Poets and their poetry is extremely popular over the urdu readers. We have collected almost every Urdu Poets Poetry here so you can read these urdu poetry and enjoy.



Jo neend main ho, ya jagte ho..

Urdu Poets

jo neend main ho, ya jagte ho,
palak pe sapne mere hi rakhna,

sawal dil main koi na rakhna,
jawab dil main bhale hi rakhna,

jo ho zaroori tumhara jana,
to jate jate baat sun lo,

khayal rakhna magar ae jana,
khayal main bas mujhe hi rakhna..



Woh shakhss ba-amal tha magar zid pe aRr gaya..

Urdu Poets

woh shakhss ba-ammal tha magar zid pe aRr gaya,
apnon se door ho ke museebat main paRr gaya,

miTti se apni jo bhi wafayen na kar saka,
woh paiRr andhiyon main jaRron se ukhaRr gaya,

us ne bhi sab ke sath meri ki mukhalfat,
jis ke liye main sare zamane se laRr gaya,

jis din mere urooj ki us ne khabar suni,
us din se us ka zehni tawazan bigaRr gaya..



Ghoomte phirte kidhar agaya main..

Urdu Poets

ghoomte phirte kidhar agaya main,
yeh to lagta hai ke ghar agaya main,

acha khaasa woh khaRra hans raha tha,
aur phir us ko nazar agaya main,

aap maathe pe shikan mat daalen,
ghair-danista idhar agaya main..



Woh mujh main is tarah se runama ho kar chala jaye,

Urdu Poets

woh mujh main is tarah se runama ho kar chala jaye,
ke jaise bekhayali main koi manzar chala jaye,

mujhe marna gawara hai magar phir hadsa yuun ho,
kise ke pas bhoole se mera number chala jaye,

achanak se mile woh aur pooche haal kaisa hai,
jawaban ankh main meri koi kankar chala jaye,

suna to hai tawazan naam ki bhi cheez hoti hai,
to kyun na hath main le kar saghar, chala jaye,

ali wala hoon sau talwar ki hajat nahin mujh ko,
nihata choRr kar mujhe lashkar beshak chala jaye,

zara mushkil nahi hai aj kal to hukmrani bhi,
jise bhi raaj karna hai sar-e-mimbar chala jaye,

khuda ke naam par bandon ko itna mat hirasaan kar,
kahin aesa na ho yun ik na ik ddar chala jaye,

sahulat se jise kafir samajh kar maar dete ho,
bane ga kya agar jannat main woh kafir chala jaye..



Hudood-e-sheher-e-talismat se nikal jaye..

Urdu Poets

Hudood-e-sheher-e-talismat se nikal jaye,
aseer-e-khaak samawaat se nikal jaye,

maza to phir hai ab yuun ho us kahani main,
charagh se nahin jinn hath se nikal jaye,

main har kisi se mohabbat se milne lagta hoon,
agar yeh aeb meri zaat se nikal jaye,

woh janta hai mere hath main nahin kuch bhi,
use pata hai to phir ghaat se nikal jaye.



Aik shakhss yahan mubtlaa-e-hairat hai.

Urdu Poets

Aik shakhss yahan mubtalaa-e-hairat hai,
jo aagahi main hai wo mawraye-hairat hai,

suna hai aj bhi woh mujh ko yaad karta hai,
par is khabar main khushi ke bajaye hairat hai,

mere sikhaye bhi shamil hain nuktaa-cheenon main,
baRrh gaye hain mere qadd se saye hairat hai,

Jahan se guzre woh har cheez theher jati hai,
faqat woh laRrki nahin saraye hairat hai,

yahan to koi baseerat-zada nahin milna,
chaar samt ajab se wabaye-hairat hai,

main un tamam manazir ka hoon bohat mamnoon,
ke jin ke husn ke sadqe baqaye hairat hai,

hawaas-bakhta hoon main sun ke teri batain,
rakhe hai tu bhi mohabbat pe raye, hairat hai,

humen tu itni musafat pe baad bhi na mila,
kisi ko mil gaya bethe bithaye hairat hai..



Yeh kin lamhaat main bethe huye hain..

Urdu Poets

yeh kin lamhaat main bethe huye hain,
shikaari ghaat main bethe huye hain,

baRrhaa kar hath us ko chhuu to lain hum,
magar aukaat main bethe huye hain,

sahulat se jo aage baRrh saken ge,
wohi khadshaat main bethe huye hain,

ali ke naam lewaon main bethe,
lage sadaat main bethe huye hain,

yahan par bethna banta nahi hai,
magar jazbaat main bethe huye hain,

mera kya hai chala jaon ga main to,
magar jo sath main bethe huye hain..



Shab-e-firaq ka manzar nahin badalne diya..

Urdu Poets

shab-e-firaq ka manzar nahin badalne diya,
koi charagh jalaya na maine jalne diya,

hum is ka radd-e-ammal jante thay pehle se,
sau hum ne gaind zeyada nahin uchalne diya,

daleel us ke dareeche ki paish ki maine,
kisi ko patlee-galee se nahin nikalne diya..



Tere baad koi bhi gham assar nahin kar saka..

Urdu Poets

tere baad koi bhi gham assar nahin kar saka,
Koi saaneha meri aankh tar nahin kar saka,

mujhe ilm tha mujhe kam paRre gi yeh roshni,
sau main inhisar charagh par nahin kar saka,

mujhe chaal chalne main dair ho gayi aur main,
koi aik mohra idhar udhar nahin kar saka,

mere aas paas ki muflisi, meri maazrat,
tera intizam main apne ghar nahin kar saka,

mujhe jhoot ke woh jawaaz paish kiye gaye,
kisi baat par main agar magar nahin kar saka..



Hum ne tasveer jo bana li hai..

Urdu Poets

Hum ne tasveer jo bana li hai,
Kuch haqeeqat hai kuch khayali hai,

Tum udhar subah ghar se nikle thay,
Aur idhar shaam hone wali hai,

Dekhte dekhte mujhe us ne,
Chaaye t-shirt par giraa li hai,

Dhoondti hain tujhe meri ankhen,
Aur dhaRrkan teri sawali hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Urdu Poets.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari