Urdu Poets

Ranjish.com has lots of Urdu Urdu Poets Poetry. Feel free to add your own Urdu Poets Shayari here.

Urdu Poets Collection

Urdu Poets are known to be great poets. Urdu Poets and their poetry is extremely popular over the urdu readers. We have collected almost every Urdu Poets Poetry here so you can read these urdu poetry and enjoy.



Shukar hai ke woh nazar to aane lagi..

Urdu Poets

shukar hai ke woh nazar to aane lagi,
yeh udaasi kahin thikaane lagi,

cHhup ke milna bhi rayegaan hi gaya,
us ki khushbu badan se aane lagi,

tu mujhe rok bhi nahin raha hai,
aur yeh bus bhi door jane lagi,

pehle to door rakha dil se mujhe,
phir woh khud rasta dikhane lagi..



Jab se tu mere sath chal raha hai..

Urdu Poets

jab se tu mere sath chal raha hai,
aesa lagta hai sab badal raha hai,

tujh ko cHhuna bhi kya museebat hai,
dost yeh hath kal se jal raha hai,

us ke sone pe raat hoti hai,
us ke uthne pe din nikal raha hai..



Chali hai naseem-e-sahar dheere dheere..

Urdu Poets

Chali hai naseem-e-sahar dheere dheere,
Gulon main kare gi assar dheere dheere,

Tumhari mohabbat main hum mar mitten ge,
Magar tum ko ho gi khabar dheere dheere,

Mujhe aesi umeed tum se nahin thi,
Ke tum pher lo ge nazar dheere dheere,

Lagi aag ulfat ki dono ke dil main,
Idhar dheere dheere, udhar dheere dheere.



Daulat ke jo nashe main yahan choor ho gaye..

Urdu Poets

Daulat ke jo nashe main yahan choor ho gaye,
Woh log manzilon se bohat door ho gaye,

Duniya hamare naam ko pehchanti naheen,
Hum to tumhare naam se mashoor ho gaye,

Kal shaam ki teri yaad ki aesi hawaa chali,
Jitne bhi gham qareeb thay sab door ho gaye,

Yeh kya hua ke sheher ka manzar badal gaya,
Jitne bhi thay charagh woh be-noor ho gaye,

Din raat hum kisi ke tasawur main khoye hain,
Duniya samajh rahi hai ke maghroor ho gaye,

Lo aaj jang hum ne mohabbat ki jeet li,
Hum un ko aur woh humen manzoor ho gaye..



Roothe to sheher-bhar main tamasha nahin kiya..

Urdu Poets

Roothe to sheher-bhar main tamasha nahin kiya,
Duniya ke samne tujhe ruswaa nahin kiya,

Kab kon hans ke milta hai apne raqeeb se,
Hum ne tumhare pyar main kya kya nahin kiya,

Yeh dosti nikkah main badlen ge aik din,
Yunhi tumhare vaaste kharcha nahin kiya,

Ghusse main gaaliyan bhi woh deta to khair thi,
Par us ne phone kaat kar acha nahin kiya..



Pyar ka hum paigham sunaane wale hain..

Urdu Poets

Pyar ka hum paigham sunaane wale hain,
Nafrat ko hum duniya se mittane wale hain,

Hindu muslim sab ka aik hi naara hai,
Sab hi watan par jaan luttane wale hain..



Akele beth kar tum ko kabhi jab yaad karti hoon..

Urdu Poets

Akele beth kar tum ko kabhi jab yaad karti hoon,
main rona, muskurana haye dono sath karti hoon,

yaheen sofe pe bethe saat ambar ghoom aati hoon,
tumhara naam chakhti hoon nashe main jhoom jati hoon,

kahan hoon main jahan meri khabar mujh tak nahin ati,
gali dil ki tumhari yaad se abaad karti hoon,

tera jana meri ankhon main pyase khawb bota hai,
tera takiya lipaTt kar mujh se sari raat sota hai,
teri khushbu meri sanson ki galiyon main tehelti hai,
bari kambakht hai yeh yaad ankhon main pighalti hai,
main sari raat sona jaagna ik sath karti hoon,

teri baaton ke phoolon se ghazal makhdoom karti hoon,
main chupke se teri DP ko jab bhi zoom karti hoon,
tere phooke huye cigarette main aksar raakh hoti hoon,
teri lat main kabhi dhuan kabhi khaak hoti hoon,
main apne zakham par ashkon ki khud barsaat karti hoon..



Woh jis par us ki rehmat ho, woh daulat mangta hai kya..

Urdu Poets

woh jis par us ki rehmat ho, woh daulat mangta hai kya,
mohabbat karne wala dil, mohabbat mangta hai kya,

tumhara dil kahe jab bhi ujaala ban ke aa jana,
kabhi ugtaa hua suraj ijazat mangta hai kya..



jo pehle shaad karta tha, woh ab nashaad karta hai..

Urdu Poets

jo pehle shaad karta tha, woh ab nashaad karta hai,
na ab woh dil dhaRrakta hai, na ab fariyad karta hai,

alag hai tu, alag masroofiyat ke hain tere andaz,
tujhe yeh tak nahin hai yaad, koi yaad karta hai..



Tumhe lagta hai mere ho, magar mere nahin ho tum..

Urdu Poets

tumhe lagta hai mere ho , magar mere nahin ho tum,
yaqeen kitna bhi dilwao, magar mere nahin ho tum,

meri har subh par qabza, meri har shaam par qabza,
mere har khawb main to ho, magar mere nahin ho tum..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Urdu Poets.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari