Parveen Shakir

Ranjish.com has lots of Urdu Parveen Shakir Poetry. Feel free to add your own Parveen Shakir Shayari here.

Parveen Shakir Collection

Parveen Shakir was a legendary female poet who started her professional career in her childhood. Her first book was “Khushbu”. Then she came up with other books named Sad-Barg, Khud’kalaami, and Inkar. Sadly, she died in a car accident while she was going to work in 1994.
We are always willing to add more and more poetry of her, so keep coming back for new Parveen Shakir Poetry.

Parveen Shakir
1952-1994


Gawahi Kaisay Toot’ti, Muamla Khuda Ka Tha..

Parveen Shakir

Gawahi Kaisay Toot’ti, Muamla Khuda Ka Tha,
Mera Aur Uska Rabta To Haath Aur Dua Ka Tha.

Gulab Qaimat-E-Shaguft, Shaam Tak Chuka Sakay,
Ada Wo Dhoop Ko Hua, Jo Qarz Bhi Saba Ka Tha.

Bikhar Gaya Hai Phool To Hum Hee Se Pooch Guchh Hui
Hisaab Baghbaan Se Hai Kia Dharaa Hawa Ka Tha,

Lahoo Chashida Hath Us Ne Choom Ker Dikha Dia,
Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha,

Jo Barishon Se Kabal Apna Rizq Ghar Mein Bhar Chuka,
Woh Sheher e Moor Se Na Tha Door Bais Balaa Ka Tha..



Aqs Khushbu Hun, Bikharnay Se Na Rokay Koi..

Parveen Shakir

Aqs Khushbu Hun, Bikharnay Se Na Rokay Koi
Aur Bikhar Jaon Tou Mujhko Na Samaitay Koi

Kaanp Uthti Hun Mein Ye Soch Ke Tanhaayi Mein
Mere Chehray Pe Tera Naam Na Parh Le Koi

Jis Tarah Khwaab Mere Hogaye Raiza Raiza
Is Tarah Se Na Kabhi Toot Ke Bikhray Koi

Mein Tou Is Din Se Hiraasaan Hun Ke Jab Hukm Milay
Khushk Phoolon Ko Kitaabon Mein Na Rakhay Koi

Ab Tou Os Raah Se Wo Shaks Guzarta Bhee Nahee
Ab Kis Umeed Pe Darwaazay Se Jhaankay Koi?

Koi Aahat, Koi Aawaaz, Koi Chaap Nahee
Dil Ki Galyaan Badi Sunsaan Hain, Aaye Koi



Charaagh-e-Raah Bujha Kia, Ke Rehnumaa Bhi Gaya

Parveen Shakir

Charaagh-e-Raah Bujha Kia, Ke Rehnumaa Bhi Gaya
Hawa Ke Saath Musaafir Ka Naqsh-e-Paa Bhee Gaya

Mein Phool Chunti Rahee Aur Mujhe Khabar Na Howi
Wo Shakhs Aa Ke Mere Sheher Se Chala Bhee Gaya

Bohat Azeez Sahee Osko Meri Dildaari
Magar Ye Hai Ke Kubhi Dil Mera Dukha Bhee Gaya

Ab Un Dareechon Pe Gehray Dabaiz Parday Hain
Wo Taank Jhaank Ka Masoom Silsila Bhee Gaya

Sab Aaye Meri Ayaadat Ko, Wo Bhee Aaya Tha
Jo Sab Gaye Tou Mera Dard Aashna Bhee Gaya

Ye Ghurbatain Meri Aankhon Mein Kaisi Utri Hain ?
Ke Khwaab Bhee Mere Rukhsat Hain, Ratjaga Bhee Gaya…!



Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai

Parveen Shakir

Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai ?
Kuch Din Se Yeh Aankh Nam Bohat Hai

Mil Leta Hai Guftugu Ki Had Tak
Itna Hee Tera Karam Bohat Hai

Ghar Aap Hi Jagmaga Uthe Ga
Dehleez Pe Ik Qadam Bohat Hai

Mil Jaye Agar Teri Rafaqat
Mujh Ko Tou Yehi Janam Bohat Hai

Kya Shab Se Humein Sawaal Karna ?
Hona Tera Subha Dam Bohat Hai

Kyon Bujhne Lage Chiraagh Mere ?
Ab Ke To Hawa Bhi Kam Bohat Hai

Chup Kyon Tujhe Lag Gayi Hai Parveen ?
Sunte They Ke Tujh Mein Ram Bohat Hai



Khwaabon Ka Nagar Jala Howa Tha

Parveen Shakir

Aqs-e-Gul Ter Jala Howa Thaa
Khwaabon Ka Nagar Jala Howa Tha

Ya Dast-e-Dua Na Uth Saka Tha
Ya Os Ka Asar Jalaa Howa Tha

Har Ghar Tha Luta Howa Kayi Baar
Aur Baar-e-Gard Jalaa Howa Tha

Ya Noch Lye Gaye Thay Pattay
Ya Saara Shajar Jalaa Howa Tha

Aankhon Ki Jaga Pe Aablay Thay
Aur Taar-e-Nazar Jalaa Howa Tha

Malba Tha Tamaam, Sheher-e-Khobi
Aur Ho Ke Khandar Jalaa Howa Tha

Teh-Khaana Jaan Mein Tujh Ko Rakhti
Laikin Mera Ghar Jalaa Howa Tha

Kuch Dair Ka Sokhta Na Tha Sheher
Ye Aath Peher Jala Howa Tha

Parwaaz Ka Itna Dar Qafas Mein
Tota Howa Par Jalaa Howa Tha

Manzil Thi Ghubaar-e-Raah Mein Guum
Aur Rakht-e-Safar Jalaa Howa Tha



Bechar Giya Teri Soorat, Bahaar Ka Mosam..

Parveen Shakir

Khiyaal-o-Khawab Howa Barg-o-Baar Ka Mosam
Bechar Giya Teri Soorat, Bahaar Ka Mosam,

Kai Rotun Se Mere Neem Waa Dareechon Mein
Ther Giya Hai Tere Intezaar Ka Mosam,

Woh Narm Lehje Mein Kuch To kahe K Laot Aaye
Samaa`aton Ki Zameen Par Bahaar Ka Mosam,

Payaam Aaya Hai Pher Ek Saro Qamat ka
Mere Wajood Ko Khenche Hai Daar ka Mosam,

Woh Aag Hai K Meri Poor Poore Jalti Hai
Mere Badan Ko Mila Hai Chanaar Ka Mosam,

Rafaqaton Kay Nai Khawab Khushnuma Hain Magar
Guzar Chuka Hai Tere Etbaar Ka Mosam,

Hawaa Chali To nai Baarishen Bhi Saath Aaien
Zameen Kay Chehre Pe Aaya Hai Nikhaar Ka Mosam,

Woh Mera Naam Liye Jaaye Aur Main Us Ka Naam
Lahu Mein Goojh Raha Hai Pukaar Ka Mosam,

Qadam Rakhe Meri Khusbu K Ghar Ko Laota Aaye
Koi Bataaye Mujhe Kowe Yaar Ka Mosam,

Woh Roz Aake Mujeh Apna Piyaar Pehnaye
Nera Garoor Hai Bele Kay Haar Ka Mosam

Tere Tareeq-e-Muhabbat Pe Baar Haa Socha
Yeh Jabar Tha Kay Tere Ikhtiyaar Ka Mosam.



Yeh Chaand Aur Yeh Abar-e-Rawaan Guzarta Rahe

Parveen Shakir

Yeh Chaand Aur Yeh Abar-e-Rawaan Guzarta Rahe
Jamaal-e-Shaam Teh-e-Asmaan Guzarta Rahe,

Bhara Rahe Teri Khushbu Se Tera Sehn-e-Chaman
Bas Ek Mosam-e-Ambar Fishaan Guzarta Rahe,

Sama`aten Tere Lehje Se Phool Chunti Rahein
Dilon K Saaz Pe Tu Naghma Khawaan Guzarta Rahe,

Khuda Kare Teri Aankhen Humesha Hansti Rahen
Diyaar-e-Waqt Se Tu Shaadmaan Guzarta Rahe,

Main Tujh Ko Dekh Na Paaon To Kuch Malaal Nahi
Kaheen Bhi Ho Tu, Sitara Nishaan Guzarta Rahe,

Main Maangti Hoon Teri ZIndgi Qiyamat Tak
Hawaa Ki Tarah Se Tu Jawedaan Guzarta Rahe,

Mera Sitara Kaheen Toot Kar Bekhar Jaaye
Falaik Se Tera Khat-e-Kehkashaan Guzarta Rahe,

Main Teri CHaaon Mein Kuch Dair Bayth Loon Aur Pher
Tamaam Raasta Be Saaiebaan Guzarta Rahe,

Yeh Aag Mujh Ko Humesha Kiye Rahe Roshan
Mere Wajood Se Tu Shola Saan Guzarta Rahe,

Main Tujh Ko Dekh Sakoon Aakhri Basarat Tak
Nazar Kay Saamne Bass Ek Samaan Guzarta Rahe,

Humaara Naam Kaheen To Likha Howa Hoga
Mah-o-Najoom Se Yeh Khakdaan Guzarta Rahe,

Main Tera Saath na De Paaon Pher Bhi Tera Safar
Gulaab-o-Khawab Kay Hi Darmiyaan Guzarta Rahe,

Main Tere Seene Pe Sarr Rakh Kar Waqt Bhool Gai
Khiyaal-e-Tezi Umar-e-Rawaan Guzarta Rahe.



Qismat Se Bhi Kuch Siwaa Dia Hai

Parveen Shakir

Qismat Se Bhi Kuch Siwaa Dia Hai ?
Baarish Ne Hamain Mila Dia Hai

Dekhi Hai Meri Udaasi Os Ne
Aur Dekh Ke Muskura Diya Hai

Ab Tou Mujhe Sabar Aa Gaya Tha
Ye Kis Ne Mujhe Rula Dia Hai ?

Wo Chaahay Tou Raasta Badal Le
Mein Ne Tou Dia Jala Dia Hai

Os Ronaq-e-Bazm Ne Tou Meri
Tanhaayi Ko Sajaa Dia Hai

Wo Pal Ke Sulagh Uthaa Hai Malboos
Aur Os Ne Diya Bujhaa Dia Hai



Chaara Saazon Ki Azyat Nahi Dekhi Jaati

Parveen Shakir

Chaara Saazon Ki Azyat Nahi Dekhi Jaati
Tere Bimaar Ki Haalat Nahi Dekhi Jaati

Dene Waalay Ki Mashiyyat Pe Hai Sab Kuch Mauqoof
Maangnay Waalay Ki Haajat Nahi Dekhi Jaati

Din Behel Jaata Hai Laikin Tere Dewaanon Ki
Shaam Hoti Hai Tou Wehshat Nahi Dekhi Jaati

Tamkanat Se Tujhay Rukhsat Tou Kia Hai Laikin
Ham Se In Aankhon Ki Hasrat Nahi Dekhi Jaati

Kon Utraa Hai Ye Aafaaq Ki Pehnaayi Mein ?
Aaina Khaanay Ki Hairat Nahi Dekhi Jaati



Apni hee sadaa sunuun kahan tak ???

Parveen Shakir

Apni hee sadaa sunuun kahan tak ???
Jungul ki hawa rahuun kahan tak ???

Har baar hawa na hogi dar per
Har baar magar uthuun kahan tak ???

Dum ghut’ta hai ghar mein hubs wo hai
Khushbo ke lye apna raffuu karuun kahan tak ???

Saahil pe samandaron se bach kar
Mein naam tera likhoon kahan tak ???

Tanhaayi ka ek ek lamha
Hungaamon se qarz loon kahan tak ???

Gar lams nahee tou lafz hee bhej
Mein tujh se juda rahuun kahan tak ???

Sukh se bhee tou dosti kubhi ho
Dukh se hee galay miluun kahan tak ???

Mansoob ho har kiran ksi se
Apnay hee lye jaluun kahan tak ???

Aanchal mere bhar ke phat rahay hain
Phool us ke lye chunuun kahan tak ???


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Parveen Shakir.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari