Parveen Shakir
Ranjish.com has lots of Urdu Parveen Shakir Poetry. Feel free to add your own Parveen Shakir Shayari here.Parveen Shakir Collection
Parveen Shakir was a legendary female poet who started her professional career in her childhood. Her first book was “Khushbu”. Then she came up with other books named Sad-Barg, Khud’kalaami, and Inkar. Sadly, she died in a car accident while she was going to work in 1994.
We are always willing to add more and more poetry of her, so keep coming back for new Parveen Shakir Poetry.
![]() |
Parveen Shakir 1952-1994 |
Chaand Meri Tarah Pighalta Raha
Parveen Shakir
Chaand Meri Tarah Pighalta Raha
Neend Mein Saari Raat Chalta Raha
Jaanay Kis Dukh Se Dil Girifta Tha
Mun Pe Baadal Ki Raakh Malta Raha
Mein Tou Paaon Ke Kaantay Chunti Rahi
Aur Wo Raasta Badalta Raha
Raat Galyon Mein Jub Bhatakti Thi
Koi Tou Tha Jo Saath Chalta Raha
Sard Rut Mein, Musaafiron Ke Lye
Payrr, Ban Kar Alaao, Jalta Raha
Mausami Bel Thi Mein Sookh Gayi
Wo Tanaawar Darakht, Phalta Raha
Dil, Mere Tan Ka Phool Sa Bacha
Patharon Ke Nagar Mein Palta Raha
Neend Hee Neend Mein Khilonay Lye
Khwaab Hee Khwaab Mein Behelta Raha
Theher Jaye, Magar Raat Katay
Parveen Shakir
Theher Jaye, Magar Raat Katay
Koi Soorat Ho Ke Barsaat Katay
Khushbuuain Mujhko Qalam Karti Gayin
Shaakh Dar Shaakh Mere Haath Katay
Mouj-e-Gul Hai Ke Talwaar Koi
Darmiaan Se Hee Manajaat Katay
Harf Kiun Apne Ganwayein Jaa Kar
Baat Se Phele Jahan Baat Katay
Chaand ! Aa Mil Ke Manayein Ye Shab
Aaj Ki Raat Tere Saath Katay
Pooray Insaanon Mein Ghus Aayein Hain
Sar Katay, Jism Katay, Zaat Katay
Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai
Parveen Shakir
Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai
Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai
Mein Os Ke Khayaal Se Gurezaan
Wo Meri Sadaa Jhatak Raha Hai
Tehreer Osi Ki Hai, Magar Dil
Khat Parhtay Howay Atak Raha Hai
Hain Phone Pe Kis Ke Saath Baatain
Aur Zehen Kahan Bhatak Raha Hai
Sadyon Se Safar Mein Hai Samandar
Saahil Pe Thakan Tapak Raha Hai
Ek Chaand Salaib-e-Shaakh-e-Gul Per
Baali Ki Tarah Latak Raha Hai
Hawaa Se Jung Mein Hun, Be-Amaa.n Hun
Parveen Shakir
Hawaa Se Jung Mein Hun, Be-Amaa.n Hun
Shikasta Kashtiyon Per Baadbaa.n Hun
Mein Sooraj Ki Tarah Hun Dhoop Orrhay
Aur Apne Aap Per Khud Saayebaa.n Hun
Mujhe Baarish Ki Chaahat Ne Dubooya
Mein Pukhta Sheher Ka Kacha Makaa.n Hun
Khud Apni Chaal Ulti Chalna Chaahun
Mein Apne Vaastay Khud Aasmaa.n Hun
Duaaein De Rahi Hun Dushmanon Ko
Ik Hamdard Per Na-Meherbaa.n Hun
Parindon Ko Dua Sikhla Rahi Hun
Mein Basti Chhorr, Jangal Ki Azaa.n Hun
Abhi Tasveer Meri Kia Banay Gi ?
Abhi Tou Canvas Per Ik Nishaa.n Hun
Tamaam raat mere ghar ka aik dar khula raha
Parveen Shakir
Tamaam raat mere ghar ka aik dar khula raha,
Main raah dekhti rahi, woh rasta badal geya,
Woh sheher hai ke jadugarniyon ka koi des,
Wahan to jo geya kabhi laut kar na aasaka,
Main wajah-e-tark-e-dosti ko sun ke muskurayi to,
Woh chaunk utha, ajab nazar se mujh ko dekhne laga,
Bichar ke mujh se, halaq ko aziz ho geya hai tu,
Mujhe to jo koi mila, tujhi ko puchta raha,
Woh dilnawaaz lamhe bhi gayi ruton mein aye jab,
Main khawb dekhti rahi, woh mujh ko dekhta raha,
Woh jis ki ek pal ki be’rukhi bhi dil ko haar thi,
Usey khud apne hath se likha hai, mujhe bhool ja,
Damak raha hai aik chaand se jabee’n pe ab talak,
Gurez’paa mohabton ka koi pal theher geya..
Woh jab se sheher-e-harabaat ko rawaana hua..
Parveen Shakir
Woh jab se sheher-e-harabaat ko rawaana hua,
Barahe’raast mulaqaat ko zamana hua,
Woh sheher chorr ke jaana to kab ka chahta tha,
Yeh naukri ka bulawaa to ik bahaana hua,
Khudaa kare teri ankhain hamesha hansti rahain,
Yeh aankhain jin ko kabhi dukha ka hausla na hua,
Kinaar-e-sehen chaman sabz bail ke nechey,
Woh roz subah ka milna to ab fasaana hua,
Main sochti hoon ke mujh mein kami thi kis shayy ki,
Ke sab ka ho ke raha woh, bas ik mera na hua,
Kisey bulati hain aangan ki champayi shaakhain,
Ke woh ab apne naye ghar mein bhi purana hua,
Dhanak ke rang main saari to rang li hain mene,
Aur ab yeh dukh, ke pehen kar kise dikhana hua,
Main apne kaano’n main bele ke phool kyon na pehnoon,
Zabaan-e-rang se kiss ko mujhe bulana hua..
Humain khabar hai, Hawaa ka mizaaj rakhte ho..
Parveen Shakir
Humain khabar hai, Hawaa ka mizaaj rakhte ho,
Magar yeh kya, ke zara dair ko rukey bhi nahin..
Jab aankh mein shaam utre, Palkon pe shafaq phooley..
Parveen Shakir
Jab aankh mein shaam utre,
Palkon pe shafaq phooley,
Kajal ki tarah meri,
Ankh ko dhank choo’ley,
Us waqat koi us ko,
Aankh se meri dekhe,
Palkon se meri choomey..
Kaisay Chhorain Ose Tanhayi Per
Parveen Shakir
Najana kon sa aasaib dil mein basta hai
Parveen Shakir
Najana kon sa aasaib dil mein basta hai,
Ke jo bhi thehra woh aakhir makaan chor gaya…
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Parveen Shakir.