Parveen Shakir

Ranjish.com has lots of Urdu Parveen Shakir Poetry. Feel free to add your own Parveen Shakir Shayari here.

Parveen Shakir Collection

Parveen Shakir was a legendary female poet who started her professional career in her childhood. Her first book was “Khushbu”. Then she came up with other books named Sad-Barg, Khud’kalaami, and Inkar. Sadly, she died in a car accident while she was going to work in 1994.
We are always willing to add more and more poetry of her, so keep coming back for new Parveen Shakir Poetry.

Parveen Shakir
1952-1994


Chalne ka hauslaa nahin rukna muhaal kar diya..

Parveen Shakir

Chalne ka hauslaa nahin rukna muhaal kar diya,
Ishq ke iss safar ne to mujh ko nidhaal kar diya,

Ae meri gul-zameen tujhe chaah thi ik kitaab ki,
Ehl-e-kitaab ne magar kya tera haal kar diya,

Milte huye dilon ke beech aur tha faasla koi,
Uss ne magar bicharrte waqt aur sawaal kar diya,

Mumkinaa faislon main aik hijr ka faislaa bhi tha,
Hum ne to ek baat ki uss ne kamaal kar diya,

Mere labon pe mohr thi pr mee sheesha-ru ne to,
Sheher ke sheher ko mera waaqif-e-haal kar diya,

Chehera o naam ek saath aaj na yaad aa sake,
Waqt ne kis shabeeh ko khawb o khayaal kar diya,

Mudatton baad us ne aaj mujh se koi gilaa kiya,
Mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahaal kar diya..

چلنے کا حوصلہ نہیں رکنا محال کر دیا - پروین شاکر



Bichrra jo aik baar to milte nahin dekha..

Parveen Shakir

Bichrra jo aik baar to milte nahin dekha,
Iss zakham ko hum ne kabhi silte nahin dekha,

Ik baar jisse chaat gayi dhoop ki khawhish,
Phir shaakh pe uss phool ko khilte nahin dekha,

Yak-lakht gira hai to jarren tak nikal aayin,
Jiss pairr ko aandhi main bhi hilte nahin dekha,

Kaanton main ghire phool ko choom aaye gi lekin,
Titlee ke paron ko kabhi chhilte nahin dekha,

Kiss tarah meri rooh ko harri kar geya akhir,
Woh zeher jisse jism main khilte nahin dekha..

Watch Video



Jahan sawaal ke badle sawaal hota hai..

Parveen Shakir

Jahan sawaal ke badle sawaal hota hai,
Wahaan mohabton ka zawaal hota hai,

Kissi ko apnaa banana hunnar hi sahi,
Kisi ke ban ke rehna kamaal hota hai..



Apni tanhayi mere naam pe abaad kare..

Parveen Shakir

Apni tanhayi mere naam pe abaad kare,
Kaun ho ga jo mujhe uss ki tarah yaad kare,

Dil ajab sheher ke jis pr bhi khula dar us ka,
Woh musaafir isse har samt se barbaad kare,

Apne qaatil ki zehaanat se pareshaan hoon main,
Roz ik maut naye tarzz ki ijaad kare,

Itna hairaan ho meri be-talabbi ke aagey,
Waa qaffass main koi dar khud mera sayaad kare,

Salb-e-binaayi ke ehkaam mile hain jo kabhi,
Roshni chhuune ki khawhish koi shab-zaad kare,

Soch rakhnaa bhi jaraayem main hai shaamil ab to,
Wohi maasoom hai har baat pe jo saad kare,

Jab lahuu bol parre us ke gavaahon ke khilaaf,
Qaazi-e-sheher kuch is baab main irshaad kare,

Uss ki muthi main bohat roz raha mera wajood,
Mere saahir se kaho ab mujhe aazaad kare..



Apni ruswaayi tere naam ka charcha dekhoon..

Parveen Shakir

Apni ruswaayi tere naam ka charcha dekhoon,
Ik zaraa sher kahoon aur main kya kya dekhoon,

Neend aa jaye to kya mehfilen barpaa dekhoon,
Aankh khul jaye to tanhaayi ka sehraa dekhoon,

Shaam bhi ho gayi dhundhlaa gayin aankhen bhi meri,
Bhoolne wale main kab tak tera raasta dekhoon,

Ik ik kar ke mujhe chorr gayin sab sakhiyaan,
Aaj main khud ko teri yaad me tanhaa dekhoon,

Tu mera kuch nahin lagta hai magar jaan-e- hayaat,
Jaane kyun tere liye dil ko dharrakta dekhoon,

Band kar ke meri aankhen woh shararat se hanse,
Bujhe jaane ka main har roz tamaasha dekhoon,

Sab ziden uss ki main puri karoon har baat sunoon,
Ek bache ki tarah se usse hansta dekhoon,

Mujh pe chhaa jaye woh barsaat ki khushbuu ki tarah,
Angg angg apna issi rut mehektaa dekhoon,

Phool ki tarah mere jism ka har lab khul jaye,
Pankharri pankhrri un honton ka saaya dekhoon,

Main ne jis lamhe ko pooja hai usse bass ik baar,
Khawb ban kar teri aankhon main utarta dekhoon,

Tu meri tarah se yaktaa hai magar mere habib,
Jee me aata hai koii aur bhi tujh sa dekhoon,

Toot jaayen ke pighal jaayen mere kacchhe gharre,
Tujh ko main dekhoon ke yeh aag ka daryaa dekhoon..



Aks-e-khushbuu hoon bikharne se na roke koi..

Parveen Shakir

Aks-e-khushbuu hoon bikharne se na roke koi,
Aur bikhar jaaon to mujh ko na samaitte koi,

Kaamp uthti hoon main yeh soch ke tanhai main,
Mere chehre pe tera naam na parrh le koi,

Jis tarah mere khawb huye raiza raiza,
Iss tarah se na kabhi toot ke bikhre koi,

Main to uss din se hiraasaan hoon ke jab hukm mile,
Khushk phoolon ko kitaabon me na rakhe koi,

Ab to iss raah se woh shakss guzarta bhi nahi,
Ab kis umeed pe darwaaze se jhaanke koi,

Koii aahatt koi awaz koi chaap nahin,
Dil ki galiyaan barri sunsaan hain aaye koi..

عکس_خوشبو ہوں بکھرنے سے نہ روکے کوئی - پروین شاکر

Watch Video



Agarche tujhse bohat ikhtilaaf bhi na hua..

Parveen Shakir

Agarche tujh se bohat ikhtilaf bhi na hua

Agarche tujhse bohat ikhtilaaf bhi na hua,
Magar yeh dil teri janib se saaf bhi na hua,

Taluqaat ke barzakh main hi rakha mujh ko,
Woh mere haq main na tha aur khilaaf bhi na hua,

Ajab tha jurm-e-mohabbat ke jis pe dil ne mere,
Sazaa bhi paayi nahin aur maaf bhi na hua,

malaamton main kahan saans le saken ge woh log,
Ke jin se kuye-jafaa ka tawaaf bhi na hua,

Ajab nahin hai ke dil par jammi mili kaayi,
Bohat dinon to yeh hozz saaf bhi na hua,

hawaa-e-dakhar humen kis liye bujhati hai,
Humen to tujhse kabhi ikhtilaaf bhi na hua..

Watch Video



Bhoola nahin dil hijar ke lamhaat karre woh..

Parveen Shakir

bhoola nahin dil parveen shakir
Bhoola nahin dil hijar ke lamhaat karre woh,
Raatain to barri theen hi din bhi barre woh..



Ku-ba-ku phail gayi baat shanasayi ki..

Parveen Shakir

Ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki,
Us ne khushbu ki tarah meri pazirayi ki,

Kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne,
Bat to sach hai magar bat hai ruswayi ki,

Wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya,
Bas yahi bat hai achi mere harjai ki,

Tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe,
Tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki,

Us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha,
Rooh tak aa gayi tasir masihayi ki..

Watch Video



Main sach kahun gi magar phir bhi haar jaun gi..

Parveen Shakir

Main sach kahun gi magar phir bhi haar jaun gi,
Woh jhoot bole ga aur la’jawab kar de ga..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Parveen Shakir.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari