Parveen Shakir

Ranjish.com has lots of Urdu Parveen Shakir Poetry. Feel free to add your own Parveen Shakir Shayari here.

Parveen Shakir Collection

Parveen Shakir was a legendary female poet who started her professional career in her childhood. Her first book was “Khushbu”. Then she came up with other books named Sad-Barg, Khud’kalaami, and Inkar. Sadly, she died in a car accident while she was going to work in 1994.
We are always willing to add more and more poetry of her, so keep coming back for new Parveen Shakir Poetry.

Parveen Shakir
1952-1994


Rung, Khushbuu Mein Agar Hal Ho Jaye

Parveen Shakir

Rung, Khushbuu Mein Agar Hal Ho Jaye
Vasl Ka Khwaab Mukammal Ho Jaye

Chaand Ka Chooma Howa Surkh Gulaab
Teetri Dekhay Tou Paagal Ho Jaye

Mein Andheron Ko Ujaalon Aisay
Teergi Aankh Ka Kaajal Ho Jaye

Doush Per Baarishain Le Ke Ghoomain
Mein Hawa Aur Wo Baadal Ho Jaye

Narm Sabzay Per Zara Jhuk Ke Chalay
Shabnami Raat Ka Aanchal Ho Jaye

Umer Bhar Thaamay Rahay Khushbuu Ko
Phool Ka Haath Magar Shal Ho Jaye

Chirrya Pat’ton Mein Simat Kar Soye
Pairr Yun Phailay Ke Jangal Ho Jaye



Agarche Tujh Se Bohat Ikhtilaaf Bhee Na Howa

Parveen Shakir

Agarche Tujh Se Bohat Ikhtilaaf Bhee Na Howa
Magar Ye Dil Teri Jaanib Se Saaf Bhee Na Howa

Taaluqaat Ke Barzakh Mein Hee Rakha Mujhko
Wo Mere Haq Mein Na Tha Aur Khilaaf Bhee Na Howa

Ajab Tha Jurm-e-Mohabbat Ke Jis Pe Dil Ne Mere
Saza Bhee Paayi Nahee Aur Maaf Bhee Na Howa

Malaamaton Mein Kahan Saans Le Sakain Ge Wo ?
Ke Jin Se Ko-e-Jafa Ka Tawaaf Bhee Na Howa

Ajab Nahee Hai Ke Dil Per Jami Masli Kaayi
Bohat Dinon Se Tou Ye Houz Saaf Bhee Na Howa

Hawa-e-Deher ! Humain Kis Liye Bujhaati Hai ?
Humain Tou Tujh Se Kubhi Ikhtilaaf Bhee Na Howa



Wo Rut Bhi Aai Ke Mai Phool Ki Sahaili Huii

Parveen Shakir

Wo Rut Bhi Aai Ke Mai Phool Ki Sahaili Huii
Mehek Mai Champa Kali, Roop Mai Chambeli Huii

Wo Sard Raat Ki Barkha Se Kiyu Na Pyaar Karun ?
Yeh Rut To Hai Mere Bachpan Ke Saath Kheli Huii

Zameen Pe Paaon Nahi Par Rahe Takabbur Se
Nigar-E-Gham Koi Dulhan Nai Nawaili Huii

Wo Chaand Ban Ke Mere Saath Saath Chalta Raha
Mai Us Ke Hijr Ki Raaton Mai Kab Akaili Huii ?

Jo Harf-E-Saada Ki Surat Hamesha Likhi Gai
Wo Larki Tere Liye Kis Tarah Paheli Huii ?



Shajar Ke Haath Mein Ek Zard Phool Baaqi Hai

Parveen Shakir

Shajar Ke Haath Mein Ek Zard Phool Baaqi Hai
Abhi Libaas-e-Musaafir Pe Dhool Baaqi Hai

Mere Qabeelay Mein Niklay Subhi Farokhtni
Na Koi Waada Na Koi Usool Baaqi Hai

Duroon-e-Sheher Gulaabon Ki Baa’r Khatam Howi
Kinaaray Sheher Puraani Babool Baaqi Hai

Hawa-e-Sheher-e-Sitam Ko Abhi Pata Na Chalay
Mere Dupattay Mein Ik Surkh Phool Baaqi Hai



Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota Hai

Parveen Shakir

Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota Hai
Apne Malbay Pe Kon Sota Hai ????????

Khushbuein Gair Tan Se Aati Hai
Baazuoun Mein Mujhe Samota Hai

Mere Dil ! Aansuoun Se Haath Utha
Kaisi Baarish Se Zakham Dhota Hai

Shaam Hotay Hee Meri Palkon Per
Kon Ye Haar Sa Pirota Hai

Raat Ke Bekaraan Andheray Mein
Koi Jugnu Ki Neend Sota Hai



Nam Hain Palkain Teri Ay Mouj-e-Hawa, Raat Ke Saath

Parveen Shakir

Nam Hain Palkain Teri Ay Mouj-e-Hawa, Raat Ke Saath
Kia Tujhe Bhee Koi Yaad Aata Hai Barsaat Ke Saath ?

Roothnay Aur Manaanay Ki Hadain Milnay Lagee.n
Chasham Poshi Ke Saleeqay Thay, Shikayaat Ke Saath

Tujh Ko Kho Kar Bhee Rahuun Khilwat-e-Jaa.n Mein Teri
Jeet Paayi Hai Mohabbat Ne Ajab Maat Ke Saath

Neend Laata Howa, Phir Aankh Ko Dukh Deta Howa
Tajurbay Donuun Hain Wabasta Tere Haath Ke Saath

Kubhi Tanhayi Se Mehroom Na Rakha Mujh Ko
Dost Hamdard Rahay Kitnay, Meri Zaat Ke Saath



Mere liye to wo khan’jar bhi phool ban ke uthaa

Parveen Shakir

Mere liye to wo khan’jar bhi phool ban ke uthaa,
Zabaan sakht thi, lehjaa magar karakht na tha.



Andheri raaton ke tanhaa musafiron k liye

Parveen Shakir

Andheri raaton ke tanhaa musafiron ke liye,
Diyaa jalata hua koi saaz o rakht na tha.



Dua to jane kaun si thi..

Parveen Shakir

Dua to jane kaun si thi,
Zehen mein nahin,
Bas itna yaad hai,
Ke do hatheliyan mili huyi thi,
Jin mein ek meri thi,
Aur ik tumhari..



Sahaab Tha Ke Sitaara, Guraiz Paa Hee Laga

Parveen Shakir

Sahaab Tha Ke Sitaara, Guraiz Paa Hee Laga
Wo Apni Zaat Ke Har Rang Mein Hawa Hee Laga

Mein Aisay Shakhs Ki Masoomiyat Pe Kia Likhuun ?
Jo Mujh Ko Apni Khataaon Mein Bhee Bhalaa Hee Laga

Zabaa.n Se Chup Hai Magar Aankh Baat Karti Hai
Nazar Uthaayi Hai Jub Bhee Tou Bolta Hee Laga

Jo Khwaab Dene Pe Qaadir Tha, Meri Nazron Mein
Azaab Daitay Howay Bhee Mujhe Khudaa Hee Laga

Na Mere Lutf Pe Hairaan Hai Na Apni Uljhan Per
Mujhe Ye Shakhs Tou Har Shakhs Se Judaa Hee Laga


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Parveen Shakir.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari