Parveen Shakir

Ranjish.com has lots of Urdu Parveen Shakir Poetry. Feel free to add your own Parveen Shakir Shayari here.

Parveen Shakir Collection

Parveen Shakir was a legendary female poet who started her professional career in her childhood. Her first book was “Khushbu”. Then she came up with other books named Sad-Barg, Khud’kalaami, and Inkar. Sadly, she died in a car accident while she was going to work in 1994.
We are always willing to add more and more poetry of her, so keep coming back for new Parveen Shakir Poetry.

Parveen Shakir
1952-1994


Bohat se log they mehmaan mere ghar lekin

Parveen Shakir

Bohat se log they mehmaan mere ghar lekin,
Wo janta tha k hey ehtamam kis k liye..



Marney se bhi pehle mar gaye they..

Parveen Shakir

Marney se bhi pehle mar gaye they,
Jeeney se kuch aese dar gaye they,

Rastey mein jahan talak diye they,
Saarey mere hamsafar gaye they,

Aankhain abhi khul nahin saki thi’n,
Aur khawb mere bikhar gaye they,

Jab tak na khila tha us ka waada,
Mausam mere be’samar gaye they,

Ab tak wohhi nasha e paziraayi*,
Kya jaaniye hum kidhar gaye they..

(paziraayi;appreciation)



Rasta hi neya hai, na main anjaan bohat hoon..

Parveen Shakir

Rasta hi neya hai, na main anjaan bohat hoon,
Phir kuye’malaamat mein hoon, nadaan bohat hoon,

Ik umar jisey khawab ki manind hi dekha,
Chooney ko mila hai to pareshaan bohat hoon,

Mujh mein kabhi aahat ki tarah se koi aye,
Ik band gali ki tarah sunsaan bohat hoon,

Uljhen ke keyi baar abhi lafz se mafhoom,
Saada hai bohat woh, na main asaan bohat hoon..



Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai..

Parveen Shakir

Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai,
Ke thaktaa ja raha hai humsafar ahistaa ahistaa..



Ab Kaisi Pardah-Daari , Khabar Aam Ho Chuki

Parveen Shakir

Ab Kaisi Pardah-Daari , Khabar Aam Ho Chuki
Maa Ki Rida Tou, Din Howe, Neelaam Ho Chuki

Ab Aasmaa.n Se Chadar-e Shab Aaye Bhi Tou Kiya
Be-Chadari Zameen Pe iLzaam Ho Chuki

Ujrey Howe Diyaar Pe Phir Kiun Nigah Hai
Is Kasht Per Tou Barish-e-Ikraam Ho Chuki

Sooraj Bhi Os Ko Dhoond Ke Wapas Chala Gaya
Ab Ham Bhi Ghar Ko Lout Chalain Shaam Ho Chuki

Shimley Sambhaaltey Hee Rahay Maslehat Pasand
Hona Tha Jis Ko Pyaar Main Bad-Naam Ho Chuki

Aankhain Hain Aur Subha Talak Tera Intezaar
Mishal Bad’dast Raat Terey Naam Ho Chuki

Koh-e-Nida Se Bhi Sukhan Utrey Agar, Tou Kiya
Na-Sameoo.n Main Hurmat-e-iLhaam Ho Chuki



Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha

Parveen Shakir

Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha
Wo Rang Rang Mein Utraa, Kiran Kiran Mein Raha

Wo Naam Haasil-e-Fun Ho Ke Mere Fun Mein Raha
Ke Rooh Ban Ke Meri Soch Ke Badan Mein Raha

Sakoon-e-Dil Ke Lye Mein Kahan Kahan Na Gayi
Magar Ye Dil, Ke Sadaa Oski Anjuman Mein Raha

Wo Sheher Waalon Ke Aagay Kaheen Mohazzib Tha
Wo Ek Shakhs Jo Sheheron Se Door Ban Mein Raha

Charaagh Bujhtay Rahay Aur Khwaab Jaltay Rahay
Ajeeb Tarz Ka Mausam Mere Watan Mein Raha



Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay

Parveen Shakir

Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay
Shaam Ke Waqt Safar Kia Kartay

Teri Masroofiatain Jaantay Hain
Apne Aanay Ki Khabar Kia Kartay

Jab Sitaaray Hee Nahi Mil Paaye
Le Ke Ham Shams-o-Qamar Kia Kartay

Wo Musaafir Hee Khuli Dhoop Ka Tha
Saaye Phaila Ke Shajar Kia Kartay

Khaak Hee Awwal-o-Aakhir Thehri
Kar Ke Zarray Ko Gohar Kia Kartay

Raaye Phele Se Bana Li TU Ne
Dil Mein Ab Ham Tere Ghar Kia Kartay

Ishq Ne Saaray Saleeqay Bakhshay
Husn Se Kasb-e-Hunar Kia Kartay



.Aankhon mein sawaal they hazaaron..

Parveen Shakir

Ik umar ke baad us ko dekha,
Aankhon mein sawaal they hazaaron,
Honton pe magar wohi tabasum,
Chehrey pe likhi huyi udaasi,
Lehjey mein magar balaa ka thehrao,
Awaaz main goonjti judai,
Baanhen thi magar wisaal-e-samaan,

Simtti huyi baazuyon mein,
Taa’der mein sochti rahi thi,
Kis abr-e-gurez paa ki tarah,
Main kis shajar se katt gayi thi,
Kis chaaon ko tark kar diya tha,

Main us ke galey lagi huyi thi,
Woh ponchh raha tha mere aansu,
Lekin barri dair ho chuki thi..



Ab aur jeeney ki surat nazar nahin ati..

Parveen Shakir

Ab aur jeeney ki surat nazar nahin ati,
Kisi tarah bhi achi khabar nazar nahin ati,

Ussi ke aas main hai dil ka hujraa tareek,
Woh roshni jo kabhi mere ghar mein nahin ati,

Woh meherbaan hai to mehraab-o-baam tak na rahe,
Yeh dhoop kyon pas-ey dar o deewar nahin ati,

Hayaat mein ab koi aesa morr nahin,
Ke jis ke baad teri rahguzar nazar nahin ati,

Qabooliyat ki hai gharri to us ko maang hi loon,
Ke yeh gharri kabhi baar-e-dagar nahin ati,

Saraaye khaana dunyiyaa main shaam hoti hai,
Musaafiron ko naveed-e-safar nazar nahin ati..



Khuli aankhon mein sapna jhaankta hai..

Parveen Shakir

Khuli aankhon mein sapna jhaankta hai,
Woh soya hai ke kuch kuch jaagta hai,

Tere chahat ke bheegey junglon mein,
Mera tan man mor ban kar nachta hai,

Mujhe har kefiyat mein kyon na samjhey,
Woh mere sab hawaaley jaanta hai,

Main uss ki dastrass main hoon magar woh,
Mujhe meri razaa se mangta hai,

Kissi ke dheyaan main dooba hua dil,
Bahaaney se mujhe bhi taalta hai,

Sarrak ko chorr kar chalna parega,
Ke mere ghar ka kacchaa rasta hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Parveen Shakir.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari