Parveen Shakir

Ranjish.com has lots of Urdu Parveen Shakir Poetry. Feel free to add your own Parveen Shakir Shayari here.

Parveen Shakir Collection

Parveen Shakir was a legendary female poet who started her professional career in her childhood. Her first book was “Khushbu”. Then she came up with other books named Sad-Barg, Khud’kalaami, and Inkar. Sadly, she died in a car accident while she was going to work in 1994.
We are always willing to add more and more poetry of her, so keep coming back for new Parveen Shakir Poetry.

Parveen Shakir
1952-1994


Yeh silsila ab aur to chalne ka nahin

Parveen Shakir

Bas tere rawai’yon ka sabab dhoondte rehna,
Yeh silsila ab aur to chalne ka nahin..



Dastaras Se Apni, Baahir Ho Gaye

Parveen Shakir

Dastaras Se Apni, Baahir Ho Gaye
Jub Se Hum Un Ko Mayassar Ho Gaye

Hum Jo Kehlaaye Tuluu-e-Mahtaab
Doobtay Sooraj Ka Manzar Ho Gaye

Sheher-e-Khobaa.n Ka Yehi Dastoor Hai
Murr Ke Dekha Aur Pathar Ho Gaye

Be-Watan Kehlaaye Apne Dais Mein
Apne Ghar Mein Reh Kar Be-Ghar Ho Gaye

Sukh Teri Meraas Thay, Tujh Ko Milay
Dukh Hamaaray Thay, Muqaddar Ho Gaye

Wo Saraab Utraa Rag-o-Pe Mein Ke Ham
Khud Faraibi Mein Samandar Ho Gaye



Ajab Makaa.n Hai Ke Jis Mein Makee.n Nahee Aata

Parveen Shakir

Ajab Makaa.n Hai Ke Jis Mein Makee.n Nahee Aata
Hudood-e-Sheher Mein Kia Dil Kaheen Nahee Aata

Mein Jis Ke Ishq Mein Ghar Baar Chodh Baithi Thi
Yehi Wo Shaks Hai Mujhko Yaqeen Nahee Aata

Maza Hee Shair Sunaanay Ka Kuch Nahi Jub Tak
Qaseedah-Go Yun Mein Wo Nukta Chee.n Nahee Aata

FIshaar Jaa.n Ke Bohat Hain Agar Nazar Aayein
Har Ik Zalzala Zair-e-Zameen Nahee Aaata

Bharam Hai Mehr-o- Maa-o-Najam Ka Bhi Bas Jab Tak
Muqaabil In Ke Wo Roshan Jabee.n Nahee Aata



Justajuu Khoye Howon Ki Umar Bhar Kartay Rahay

Parveen Shakir

Justajuu Khoye Howon Ki Umar Bhar Kartay Rahay
Chaand Kay Hamrah Hum Har Shab Safar Kartay Rahay

Raaston Ka iLm Tha Na Ham Ko Simton Ki Khabar
Sheher-e-Na-Maaloom Ki Chaahat Magar Kartay Rahay

Ham Ne Khud Se Bhee Chhupaya Hai Aur Saaray Sheher Ko
Tere Jaanay Ki Khabar Deewaar-o-Dar Kartay Rahay

Wo Na Aaye Ga Hamain Maaloom Tha, Os Shaam Bhi
Intezaar Os Ka Magar Kuch Soch Kar Kartay Rahay

Aaj Aaya Hai Hamain Bhee Un Uraanon Ka Khayaal
Jin Ko Tere Zaim Mein, Be-Baal-o-Par Kartay Rahay



Taar-e-Mazgaan Nahee Mil Raha Tha

Parveen Shakir

Taar-e-Mazgaan Nahee Mil Raha Tha
Zakham Kis Yaad Ka Sil Raha Tha

Barf Mein Roshni Ghul Rahee Thi
Wo Mujhe Khwaab Mein Mil Raha Tha

Kuch Ajab Roshni Baagh Mein Thi
Phool Kis Rung Ka Khil Raha Tha

Saamnay Tha Wo Aur Dono Chup Thay
Ab Na Ham Thay Na Wo Dil Raha Tha

Rung-o-Rogan Ki Baatain Mehel Mein
Sheher Bunyaad Se Hil Raha Tha



Sochuun Tou Wo Saath Chal Raha Hai

Parveen Shakir

Sochuun Tou Wo Saath Chal Raha Hai
Dekhuun Tou Nazar Badal Raha Hai

Kiun Baat Zabaan Se Keh Ke Khoyi ?
Dil Aaj Bhee Haath Mal Raha Hai

Raaton Ke Safar Mein Wehem Sa Tha
Ye Mein Hun Ke Chaand Chal Raha Hai ?

Hum Bhee Tere Baad Jee Rahain Hain
Aur TU Bhee Kaheen Behel Raha Hai

Samjha Ke Abhee Gayi Hain Sakhiaan
Aur Dil Hai Ke Phir Machal Raha Hai

Hum Hee Buray Ho Gaye —- Ke Tera
Mayaar-e-Wafaa Badal Raha Hai ?



Usi Din Ghar Nahi Aata Ke Jab Aane Ko Kehta Hai

Parveen Shakir

Usi Din Ghar Nahi Aata Ke Jab Aane Ko Kehta Hai,
Magar Kya Roothna Usse Wo Apni Dhun Mein Rehta Hai,

Madaarat-E-Alam Mein Wo Nahi Shirkat Ka Kaail,
Na Apne Dukh Batata Hai Na Mere Ranj Sehta Hai,

Lab-E-Khamoosh, Chashm-E-Khushk Kya Samjhayenge Tujhko ?
Jo Barish Dil Mein Hoti Hai Jo Dariya Dil Mein Behta Hai,

Mujhe Tujhse Juda Rakhta Hai Aur Dukh Tak Nahi Hota,
Mere Andar Tere Jaisa Ye Aakhir Kaun Rehta Hai ?

Khayal-E-Yaar Abhi Roshan, Abhi Nazron Se Ojhal Hai,
Abhi Ye Raishmee.n Dariya Pahadon Mein Hi Behta Hai…!



Sheher ko teri justaju hai bohat..

Parveen Shakir

Sheher ko teri justaju hai bohat,
In dinon hum pe guftagu hai bohat,

Jab se parvaaz ke shareek miley,
Ghar bananey ki aarzoo hai bohat,

Dard reh reh ke sar uthaata hai,
Kabhi kam ho gaya, Kabhi hai bohat,

Kuch tou woh yaad bhi bohat aya,
Kuch in ankhon mein bhi lahu hai bohat,

Peeney wali aankh hai darkaar,
Aankh ko chaand ka sabuu hai bohat..



Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke Ghar Mein Rehna

Parveen Shakir

Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke Ghar Mein Rehna
Ab Tou Har Haal Mein Hai Ham Ko Safar Mein Rehna

Dil Ko Har Pal Kisi Jaadu Ke Asar Mein Rehna
Khud Se Niklay Tou Kisi Aur Ke Dar Mein Rehna

Sheher-e-Gham ! Dekh, Teri Aab-o-Hawaa Khushk Na Ho
Raas Aata Hai Ose Deeda-e-Tar Mein Rehna

Faislay Saaray Osi Ke Hain Hamaari Baabat
Ikhtiyaar Apna Bas Itna Ke Khabar Mein Rehna

Tootna Yun Tou Muqaddar Hai Magar Kuch Lamhay
Phool Ki Tarah Mayassar Ho Shajar Mein Rehna

Taayir-e-Jaan Ke Guzarnay Se Badaa Saaneha Hai
Shoq-e-Parwaaz Ka Tootay Howay Par Mein Rehna



Bajaa Ke Aankh Mein Neendon Ke Silsilay Bhee Nahee

Parveen Shakir

Bajaa Ke Aankh Mein Neendon Ke Silsilay Bhee Nahee
Shikast-e-Khwaab Ke Ab Mujh Mein Honslay Bhee Nahee

Nahee Nahee ! Ye Khabar Dushmanon Ne Di Hogi
Wo Aaye, Aa Ke Chalay Bhee Gaye ! Milay Bhee Nahee

Ye Kon Loog Andheron Ki Baat Kartay Hain ?
Abhee Tou Chaand Teri Yaad Ke Dhalay Bhee Nahee

Abhee Se Mere Raffugar Ke Haath Thaknay Lagay
Abhee Tou Chaak Mere Zakham Ke Silay Bhee Nahee

Khafaa Agarche Hamesha Howay Magar Ab Ke
Wo Barhami Hai Ke Hum Se Unhain Gilay Bhee Nahee


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Parveen Shakir.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari