Video Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Video Shayari Poetry. Feel free to add your own Video Shayari Shayari here.

Video Shayari Collection

Video Poetry is shayari in video format. Video Shayari is recited by a female or male so that shayari lovers can hear it and watch it being recited. This type of audio shayari which can either be in urdu or in hindi is immensely popular among teenagers who don’t just like reading poetry but prefer listening to poetry in attractive voices.
Video poetry lovers usually like poetry in girls voices so we will try to record our audio and video shayari in female voices. We produce these poetry videos ourself.



Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko..

Video Shayari

Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko,
Zakham khulte hain aziyat nahin hoti mujh ko,

Ab koi aye chala jaye main khush rehta hoon,
Ab kisi shakhss ki aadat nahin hoti mujh ko,

Aesa badla hoon tere shehr ka paani pee kar,
Jhoot boloon to nadamat nahin hoti mujh ko,

Hai amaanat main khayanat so kisi ki khatir,
Koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko,

Itna masroof hoon jeene ki havass main mohsin,
Saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko..



Tu mujh ko sun raha hai to sunayi kyun nahin deta..

Video Shayari

Tu mujh ko sun raha hai to sunayi kyun nahin deta,
Yeh kuch ilzam hain mere, safayi kyun nahin deta,

Mere hanste huye lehje se dhoka kha rahe ho tum,
Mera utra hua chehra dikhayi kyun nahin deta,

Nazar-andaz kar rakha hai duniya ne tujhe kab se,
Kisi din apne hone ki duhayi kyun nahin deta,

Main tujh ko dekhne se kis liye mehroom rehta hoon,
Ataa karta hai jab nazren, rasayi kyun nahin deta,

Khud apne aap ko hi ghair kar betha hai tu kab se,
Ab apne aap se khud ko rehayi kyun nahin deta,

Main tujh ko jeet jaane ki mubarakbad deta hoon,
Tu mujh ko haar jaane ki badhayi kyun nahin deta..



BhaRrkaen meri pyaas ko aksar teri aankhen..

Video Shayari

BhaRrkaen meri pyaas ko aksar teri aankhen
Sehraa mera chehra hai samandar teri aankhen

Phir bhala kon unhen daad-e-tabassum de ga
Royen gi bohat mujh se bichar ker teri aankhen

Bojhal nazar aati hain bazahir mujhe lekin
Khulti hain bohat dil main utar ker teri aankhen

Ab tak meri yaadon se mitaye nahi mit-ta
Bheegi hoi ek shaam ka manzar teri aankhen

Mumkin ho tu ik taaza ghazal aur bhi keh loon
Phir oorrh na lain khawb ki chadar teri aankhen

Yoon dekhte rehna usay acha nahi mohsin
Wo kanch ka paikar hai to pathat teri aankhen



Tooti hai meri neend magar tum ko is se kya ?

Video Shayari

Tooti hai meri neend magar tum ko is se kya,
Bajte rahen hawaaon se dar tum ko is se kya,

Tum mauj mauj misl-e-sabaa ghoomte raho,
Katt jayen meri soch ke par tum ko is se kya,

Auron ka hath thamo unhe rasta dikhao,
Main bhool jaon apna hi ghar tum ko is se kya,

Abr-e-gurez-e-paa ko barasne se kya gharaz,
Seepi main ban na paaye gohar tum ko is se kya,

Le jayen mujh ko maal-e-ghaneemat ke sath aduu,
Tum ne to daal di hai sipar tum ko is se kya,

Tum ne to thak ke dasht main khaimay laga liye,
Tanha katte kisi ka safar tum ko is se kya..



Abhi ik shor sa utha hai kahin..

Video Shayari

Abhi ik shor sa utha hai kahin,
Koi khamosh ho gaya hai kahin,

Hai kuch aesa ke jaise yeh sab kuch,
Is se pehle bhi ho chuka hai kahin,

Tujh ko kya ho gaya ke cheezon ko,
Kahin rakhta hai dhoondta hai kahin,

Jo yahan se kahin na jaata tha,
Woh yahan se chala gaya hai kahin,

Aaj shamshaan ki si buu hai yahan,
Kya koi jism jal raha hai kahin,

Hum kisi ke nahin jahan ke siwa,
Aesi woh khaass baat kahan hai kahin,

Tu mujhe dhoond main tujhe dhoondhon,
Koi hum main se reh gaya hai kahin,

Kitni wehshat hai darmeyan-e-hujoom,
Jis ko dekho gaya hua hai kahin,

Main to ab sheher main kahin bhi nahin,
Kya mera naam bhi likha hai kahin,

Isi kamre main koi ho ke vidaa,
Isi kamre main chup gaya hai kahin,

Mil ke har shakhs se hua mehsus,
Mujh se yeh shakhs mil chuka hai kahin..



Yaad thay, yaadgar thay hum to..

Video Shayari

Aap apna ghubaar thay hum to,
Yaad thay, yaadgar thay hum to,

Pardagi hum se kyun rakha parda,
Tere hi parda-dar thay hum to,

Waqt ki dhoop main tumhare liye,
Shajar-e-saya-daar thay hum to,

UrRe jaate hain dhool ke manind,
Aandhiyon par sawaar thay hum to,

Hum ne kyun khud pe aitbar kiya,
Sakht be-aitbar thay hum to,

Sharam hai apni baar baari ki,
Be-sabab baar baar thay hum to,

Kyun humen kar diya gaya majboor,
Khud hi be-ikhteyar thay hum to,

Tum ne kaise bhula diya hum ko,
Tum se hi mustaar thay hum to,

Khush na aya humen jiye jana,
Lamhe lamhe pe baar thay hum to,

Seh bhi lete hamare taanon ko,
Jan-e-man janisar thay hum to,

Khud ko dauran-e-hal main apne,
Be-tarah naagwar thay hum to,

Tum ne hum ko bhi kar diya barbar,
Nadir-e-rozgar thay hum to,

Hum ko yaaron ne yaad bhi na rakha,
Jaun yaaron ke yaar thay hum to..



Yehi waada liya tha na, hamesha khush hi rehna hai..

Video Shayari

Yehi waada liya tha na
ke hamesha khush hi rehna
lo dekho dekh lo aa kar
meri ankhon ko dekho tum
yeh kitni shokh lagti hain
mere honton ko dekho tum
yeh hamesha muskurate hain
koi bhi gham agar aye
usse hans kar saha maine
mere chehre ko dekho tum
hamesha pur-sakoon ho ga

kaha tha maine jo tum se
woh waada kar diya poora
magar ik baat hai janan
kabhi jo waqt mil jaye
to meri shayari parhna
tumhen mehsus to hoga
kahin talkhi bhara lehja
kahin pe sard sa lehja
kabhi pe dard ki jheelain
kahin lehje ki karrwahat

suno main khush to hoon lekin
mere alfaz rote hain



Saans lena bhi kesi aadat hai..

Video Shayari

Saans lena bhi kesi aadat hai
Jiye jana bhi kya riwayat hai
Koi aahat nahi badan mein kaheen
Koi saaya nahi hai aankhon mein
Paaon behis hain, chalte jate hain
Ik safar hai jo behta rehta hai
Kitne barason se, kitni sadiyon se
Jiye jate hain, jiye jate hain
Aadaten bhi ajeeb hoti hain



Maine chupa liya, Aur mohabbat ne zahir kar diya..

Video Shayari

Maine chupa liya
Aur mohabbat ne zahir kar diya
Main us ko balon ko choota
Mohabbat zanjeer ban jati
Aur zanjeer ban kar
Us ki zulfon main sarayiyat kar jati
Main band jata
Muqayyad ho jata
Sar-ta-pa muqayyad aur mehsuur

Woh roothti to duniya rooth jati
Woh door hoti to
Main galiyon galiyon mara mara phirta
Apne ap ko dhoondta
Awazen deta
Chilaata

Sarrkain mera mazaq urrati
Raste mujh par awazen kaste
Mausam mujhe reham se dekhte
Log taras khate
Phir maine chupa liya
Sab ka sab
Har aik se chupa liya
Us se bhi
Logon se bhi
Aur apne ap se bhi
Maine chupa liya
Aur mohabbat ne zahir kar diya

Maine us ki khatir
Raton se pyar kiya
Aur ratjagon se dosti
Shamon se shanasayi paida ki
Aur raunaqon se ajnabi ho geya
Chand se us ka pata pucha
Aur darakhton ke sath mil ke us ka saug manaya

Main us se larr parta
Aur khud pe ghussa taan leta
Us se bolna band karta
Viraniyon se baten karna shuru kar deta
Karta jata, karta jata, karta chala jata
Us se milta aur chup ho jata

Sochta us se kahoon
Kabhi to aesa karo
Apne dinon se bahar niklo
Meri raton main ao
Aur mere wajood ko apni ankhon main utaro
Meri rooh main utro
Mujhe khud pe munkashif kar do
Aik atish
Aik tapish
Aik hiddat
Aik shiddat
Chalo door se hi sahi
Aur aik zara lamha bhar ko hi sahi
Kabhi mehsus to kar
Kabhi mehsus karne ki koshish to karo
Kabhi koshish karne ka irada to bandho
Kabhi irada bandhne ka socho to sahi
Main hamesha sochta
Lekin keh na pata



Khizaan ki rut main gulaab lehja bana ke rakhna kamaal yeh hai..

Video Shayari

Khizaan ki rut main gulaab lehja bana ke rakhna kamaal yeh hai,
Hawa ki zad main diya jalana, jala ke rakhna kamaal yeh hai,

Zara si larzish pe toRr dete hain sab talluq zamane wale,
So aese weson se bhi talluq, bana ke rakhna kamaal yeh hai,

Kisi ko dena yeh mashwra ke, woh dukh bichaRrne ka bhool jaye,
Aur aese lamhe main apne aansuu chupa ke rakhna kamaal yeh hai,

Khayal apna, mizaj apna, pasand apni, kamaal kya hai,
Jo yaar chahe woh haal apna bana ke rakhna kamaal yeh hai,

Kisi ki raah se khuda ki khatir, utha ke kante, hatta ke pathar,
Phir us ke aage nigaah apni jhuka ke rakhna kamaal yeh hai,

Woh jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi laRrkhaRraye, shikast khaye,
Labon pe apne woh muskurahat, sajaa ke rakhna kamaal yeh hai,

Hazaar taaqat ho, sau daleelen hon, phir bhi lehje main aajzi se,
Addab ki lazzat, dua ki khushbu, basaa ke rakhna kamaal yeh hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Video Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari