Video Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Video Shayari Poetry. Feel free to add your own Video Shayari Shayari here.

Video Shayari Collection

Video Poetry is shayari in video format. Video Shayari is recited by a female or male so that shayari lovers can hear it and watch it being recited. This type of audio shayari which can either be in urdu or in hindi is immensely popular among teenagers who don’t just like reading poetry but prefer listening to poetry in attractive voices.
Video poetry lovers usually like poetry in girls voices so we will try to record our audio and video shayari in female voices. We produce these poetry videos ourself.



Lakh doori ho magar ehad nibhate rehna..

Video Shayari

Lakh doori ho magar ehad nibhate rehna,
Jab bhi barish ho mera saug manate rehna,

Tum gaye ho to sar-e-sham yeh adat thehri,
Bas kinare pe kharre hath hilate rehna,

Jane is dil ko yeh adab kahan se aye,
Us ki rahon main nigahon ko bichate rehna,

Aik muddat se yeh mamool hua hai ab to,
Ap hi roothna aur ap manate rehna,

Tum ko maloom hai farhat ke yeh pagalpan hai,
Door jate huye logon ko bulate rehna..



Main udaas hoon mujhe dekh ja..

Video Shayari

Meri tashnagi ka khayal kar, main udaas hoon mujhe dekh ja,
Meri bebasi pe malaal kar, main udaas hoon mujhe dekh ja,

Yeh jo hijr hijr hai sham-e-gham, meri ankh bhi to hai dekh num,
Meri hasraton ko visaal kar, main udaas hoon mujhe dekh ja,

Main tere khayal ke dasht main sabhi raston se guzar geya,
Meri saans ab to bahaal kar, main udaas hoon mujhe dekh ja,

Mera zard chehra hai kis liye, yeh makaan ujrra hai kis liye,
Mera haal pooch, sawal kar, main udaas hoon mujhe dekh ja,

Ae naye dinon ki udaas rut, tu mere wajood main aa ke ruk,
Meri shidaton ko bahaal kar, main udaas hoon mujhe dekh ja..



Meri zindagi main bas ek kitaab hai..

Video Shayari

Meri zindagi main bas ek kitaab hai
ek charagh hai
ik khawb hai
aur tum ho
yeh kitab-o-khawb ke darmeyan jo manzilen hain
main chahta tha tumhare sath bassar karoon
yehi qul-asaasa-e-zindagi hai
isi ko zaad-e-safar karoon
kisi aur samt nazar karoon to meri dua main assar na ho
mere dil ke jada-e-khushkhabar pr bajuz tumhare
kabhi kisi ka guzar na ho
magar is tarah ke tumhen bhi is ki khabar na ho
isi ehtiyat main sari umar guzar gayi
woh jo aarzu thi
kitab-o-khawb ke sath tum bhi shareek ho
wohi mar gayi
isi kashmakash ne kayi sawal uthaye hain
woh sawal jin ka jawab meri kitab main hai na khawb main
mere dil ke jada-e-khushkhabar ke rafiq
tum hi batao ke yeh karobar-e-hayat kis ke hisab main
meri zindagi main bas ik kitab hai
ik charagh hai
ik khawb hai
aur tum ho..



Yeh peham talkh-kaami si rahi kya..

Video Shayari

Yeh peham talkh-kaami si rahi kya,
Mohabbat zeher kha kar ayi thi kya,

Mujhe ab tum se ddar lagne laga hai,
Tumhe mujh se mohabbat ho gayi kya,

Shikast-e-aitmad-e-zaat ke waqt,
Qayamat aa rahi thi, aa gayi kya ?

Mujhe shikwa nahin bas puchna hai,
Yeh tum hansti ho, apni hi hansi kya,

Humen shikwa nahin aik dusre se,
Manana chahiye is par khushi kya ?

Parre hain aik goshay main gumaan ke,
Bhala hum kya, hamari zindagi kya,

Main rukhsat ho raha hoon par tumhari,
Udaasi ho gayi hai multavi kya ?

Main ab har shaks se uktaa chuka hoon,
Faqat kuch dost hain, aur dost bhi kya,

Abhi hone ki baaten hain sau kar lo,
Abhi to kuch nahin hona, abhi kya ,

Yeh rabt-e-be-shikayat aur yeh main,
Jo shay seenay main thi, bujh gayi kya..



Andheri raat ko woh mojze dikhayen ge hum..

Video Shayari

Andheri raat ko woh mojze dikhayen ge hum,
Charaagh ghar na jala apna dil jalayen ge hum,

Hamari koh-kani ke hain mukhtlif mayar,
PahaRR kaat ke raste naye banayen ge hum,

Jo dil dukha hai to yeh azam bhi mila hai humen,
Tamaam umar kisi ka na dil dukhayen ge hum,

Agar hai maut main kuch lutf to bas itna hai,
Ke is ke baad khuda ka suraagh payen ge hum,

Humen to qabar bhi tanha na kar sake gi nadeem,
Ke har taraf se zameen ko qareeb payen ge hum..



Agar aesa bhi ho sakta..

Video Shayari

Agar aisa bhi ho sakta
Tumhaari neend mein
Sab khwaab apne muntaqil karke
Tumhe woh sab dikha sakta
Jo khwaabon mai main aksar dekha karta hoon

Ye ho sakta agar mumkin
Tumhe maloom ho jata,
Tumhe main le gaya tha sarhadon ke paar dina mein
Tumhe woh ghar dikhaya tha jahaan paida hua tha main
Jahaan chhat par lagaa sariyon ka junglaa
Dhoop se din bhar mere aangan mein shatranji banaata tha aur mitaata tha
Dikhaayi thi tumhe woh khetiyaan sarson ki dinay mein
Ki jiske peele peele phool khawb mein tumko kachche khilaaye the
Waheen ek rastaa tha ttaaliyon ka jispe meelon tak parra karte the
Jhoole saundhe saawan ke

Usi ki saundhi khushboo se mehak uthti hain aankhe
Jab kabhi uss khwaab se guzroon
Tumhe raftaas ka chalta kuan bhi to dikhaaya tha
Kile mein band rahtaa tha jo din bhar

Raat ko gaon mein aa jaata tha kehte hain
Tumhe kaala se kaluwaal tak leke uda hoon main
Tumhe dariay-e-jhelum par ajab manzar dikhaaye they
Jahaan tarbooj par lete hue tairak ladke behte rehte they
Jahaan tagde se ek sardaar ki pagdi pakad kar main
Nahata dubkiyaan lagata magar jab woh otar aa jaata
To meri neend khul jaati

Magar ye sirf khwaabon mein hi mumkin hai
Wahaan jaane mein ab dushwaariyan hain kuch siyasat ki
Watan ab bhi wohi hai, par nahin hai mulk ab mera
Wahaan jaana ho ab to do do sarkaaron ke daseeyon daftaron se
Shakl par lagwaa kar mohren, khawb saabit karne padte hain..



Hum ne hi lautne ka irada nahin kiya..

Video Shayari

Hum ne hi lautne ka irada nahin kiya,
Us ne bhi bhool jane ka vada nahin kiya,

Dukh orrhte nahin jashn-e-tarab main hum,
Malbus-e-dil ko tan ka libada nahin kiya,

Jo gham mila hai bojh uthaya hai us ka khud,
Sar zer-e-bar-e-saghar-o-bada nahin kiya,

Kaar-e-jahan humen bhi bohat thay safar ki sham,
Us ne bhi iltifat zeyada nahin kiya,

Aamad pe teri itr-o-charagh-o-subuu na hon,
Itna bhi bood-o-bash ko saada nahin kiya..



Balaa ke gham uthaye ja rahe hain..

Video Shayari

Balaa ke gham uthaye ja rahe hain
Jafaa ke teer khaye ja rahe hain

Fida karne ko deen-e-mustafa par
Ali akbar sajaye ja rahe hain

Qadam dosh-e-nabuat par thay jin ke
Woh kanton par chalaye ja rahe hain

Jahan be-izn ate thay na Jibreel
Woh kashane jalaye ja rahe hain

Bithate thay Nabi kaandhe pe jin ko
Woh naizon se giraye ja rahe hain

Hua tha jon qayem jin se parda
Woh bazaron main laye ja rahe hain

بلا کے غم اٹھائے جا رہے ہيں



Gumsum hua awaaz ka dariya tha woh ek shakhs..

Video Shayari

Gumsum hua awaaz ka dariya tha woh ek shakhss,
Patthar bhi nahi ab woh sitara tha jo ek shakhss,

Shayazed woh bhi koi harf-e wafa dhoondh raha tha,
Chehron ko barre ghaur se parrhta tha woh ek shakhss,

Sehraa ki tarah dair se pyasa tha woh shayad,
Baadal ki tarah toot ke barsa tha woh ek shakhss,

Aye tezz hawaa koi khabar uss ke junoon ki,
Tanha safar-e shauq pe nikla tha jo ek shakhss,

Ab aakhri sitaron mein kahin naam hai uss ka,
ehbaab ki fehrist mein pehla tha jo ek shakhss,

Haathon mein chhupaye huye phirta hai kayi zakham,
Sheeshe ke khilono’n se behlta tha jo ek shakhss,

Murr murr ke usey dekhna chahen meri ankhein,
Kuch duur mujhe chhorrne aya tha jo ek shakhsss

Har zehan mein kuchh naqsh-e wafa chhod gya hai,
Kehne ko bhare shehar mein tanha tha jo ek shakhss,

Munkir hai wohi ab meri pehchaan ka Mohsin,
Aksar mujhe khat khoon se likhta tha jo ek shakhss..



Bahaar ayi to jese yak-baar..

Video Shayari

Bahaar ayi to jese yak-baar
laut aye hain phir adam se
woh khawb sare shabaab sare
jo tere honton pe mar-mitte thay
jo mitt ke har baar phir jiye thay
nikhar gaye hain gulab sare
jo teri yadon se mushkbu hain
jo tere ushaaq ka lahu hain
ubal parre hain azaab sare
malaal-e-ahval-e-dostan bhi
khumar-e-aghosh-e-mah-vashan bhi
ghubar-e-khatir ke baad sare
tere hamare
sawal sare jawab sare
bahar ayi to khul gaye hain
naye siray se hisab sare..

بہار آئی تو جیسے یک بار


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Video Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari