Video Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Video Shayari Poetry. Feel free to add your own Video Shayari Shayari here.

Video Shayari Collection

Video Poetry is shayari in video format. Video Shayari is recited by a female or male so that shayari lovers can hear it and watch it being recited. This type of audio shayari which can either be in urdu or in hindi is immensely popular among teenagers who don’t just like reading poetry but prefer listening to poetry in attractive voices.
Video poetry lovers usually like poetry in girls voices so we will try to record our audio and video shayari in female voices. We produce these poetry videos ourself.



Hazar gham jinhe gheren sharab kyun na piyen..

Video Shayari

Hazar gham jinhe gheren sharab kyun na piyen,
Bata ae saaqi woh khana-kharab kyun na piyen,

Ujaarr kar mujhe likha hai us ne mat peena,
Likha hai maine bhi us ko jawab kyun na piyen,

Unhen nahin hai koi haq ke gham ko bhool saken,
Ho jin ke dil main gham-o-izterab kyun na piyen,

Hisab kis ko hai dena ke koi apna nahin,
To phir yeh bin tere be-hisaab kyun na piyen,

Kisi ko khoon hai pasand aur kisi ko pani hai,
Hamara to hai yehi intekhab kyun na piyen,

Bhagaa bhagaa ke teri yaad ke bayabaan main,
Thakaa chuka hai humen bhi saraab kyun na piyen,

Hamare haal se kis ko gharaz hai duniya main,
Hazar baar piyen ge janab kyun na piyen,

Suna hai jaam hai nashad un ki ankhon main,
To aaj un ka hatta kar naqaab kyun na piyen..



Sar hi ab phorriye nadamat main..

Video Shayari

Sar hi ab phorriye nadamat main,
Neend aane lagi hai furqat main,

Hain daleelen tere khilaaf magar,
Sochta hoon teri himayat main,

Ruuh ne ishq ka fareb diya,
Jism ko jism ki adavat main,

Ab faqat aadaton ki varzish hai,
Ruuh shamil nahin shikayat main,

Ishq ko darmiyan na lao ke main,
Cheekhta hoon badan ki usrat main,

Yeh kuch asaan to nahin hai ke hum
Roothte ab bhi hain murawat main,

Woh jo tameer hone wali thi,
Lag gayi aag us imarat main,

Zindagi kis tarah bassar ho gi,
Dil nahin lag raha mohabbat main,

Hasil-e-kun hai yeh jahan-e-kharab,
Yahi mumkin tha itni ujlat main,

Ae khuda jo kahin nahin maujood,
Kya likha hai hamari qismat main..

سر ہی اب پھوڑیے ندامت میں - جون ایلیا



Mudatton se sambhaal rakhe hain..

Video Shayari

Mudatton se sambhaal rakhe hain,
Dil main tere khayal rakhe hain,

Kon jane ke aik mohabbat main,
Kitne hijr o visaal rakhe hain,

Tujh ko maine urooj bakhsha hai,
Apne hisse zawaal rakhe hain,

Teri chahat ke sab karishme hain,
Mujh main jitne kamaal rakhe hain,

Jaldi aao ke vasvase maine,
Kitni mushkil se paal rakhe hain..



Rukhsat hua to ankh milaa kar nahin geya..

Video Shayari

Rukhsat hua to ankh milaa kar nahin geya,
Woh kyun geya hai yeh bhi bata kar nahin geya,

Woh yuun geya ke baad-e-sabaa yaad aa gayi,
Ehsas tak bhi hum ko dilaa kar nahin geya,

Yuun lag raha hai jese ke abhi laut aaye ga,
Jaate huye chiraagh bhuja kar nahin geya,

Bas ik lakeer kheench geya darmeyan main,
Deewar raste main banaa kar nahin geya,

Shayed woh mil hi jaye magar justuju hai shart,
Woh apne naqsh-e-paa to mittaa kar nahin geya,

Ghar main hai aj tak wohi khushbuu bassi hui,
Lagta hai yuun ke jese woh aa kar nahin geya,

Rehne diya na us ne kisi kaam ka mujhe,
Aur khaak main bhi mujh ko milaa kar nahin geya,

Shahzad yeh gilaa hi raha us ki zaat se,
Jaate huye woh koi gilaa kar nahin geya..

رخصت ہوا تو آنکھ ملا کر نہیں گیا



Bulati hai magar jaane ka nayin..

Video Shayari

Bulati hai magar jaane ka nayin,
Yeh duniya hai idhar jaane ka nayin,

Mere bete kisi se ishq kar,
Magar hadh se guzar jaane ka nayin,

Kushada-zarf hona chahiye hai,
Chalak jaane ka, bhar jaane ka nayin,

Sitaare noch kar le jaon ga,
Main khaali hath ghar jaane ka nayin,

Woh gardan naapta hai, naap le,
Magar zalim se ddar jaane ka nayin..



Mohabbat ab nahin hogi..

Video Shayari

Mohabbat ab nahin hogi,
yeh kuch din baad main hogi,
sitare jo damakte hain,
kisi ki chashm-e-hairan main,
mulaqaten jo hoti hain jamal-e-abr-o-baraan main,

ya na-abaad waqton main dil-e-nashad main hogi,
mohabbat ab nahin hogi,
yeh kuch din baad main hogi,

guzar jayen ge jab yeh din,
yeh un ki yaad main hogi,
mohabbat ab nahin hogi..



Baat nikle gi to bohat door talak jaye gi..

Video Shayari

Baat nikle gi to bohat door talak jaye gi,
log bewajah udasi ka sabbab poochen ge,
yeh bhi poochen ge ke tum itni pareshan kyun ho,
jagmagate huye lamhon se gurezan kyun ho,
ungliyan uthen gi sookhe huye balon ki taraf,
ik nazar dekhen ge guzre huye salon ki taraf,
choorriyon par bhi kayi tanz kiye jayen ge,
kampte hathon par bhi fiqre kassay jayen ge,
phir kahen ge ke hansi main bhi khafa hoti hain,
ab to ruhi ki namazen bhi qazaa hoti hain,

log zalim hain har ik baat ka taana dain ge,
baton baton main mera zikr bhi le ayen ge,
in ki baton ka zara sa bi assar mat lena,
warna chehre ke taasur se samajh jayen ge,
chahe kuch bhi ho sawalat na karna un se,
mere baaray main koi baat na karna un se,
baat nikle gi to bohat door talak jaye gi..



Aahatt si koi aaye to lagta hai ke tum ho..

Video Shayari

Aahatt si koi aaye to lagta hai ke tum ho,
Saaya koi lehraaye to lagta hai ke tum ho,

Jab shaakh koi haath lagaate hi chaman main,
Sharmaaye lachak jaaye to lagta hai ke tum ho,

Sandal si mehkti huyi pur-kaif havaa ka,
Jhonka koi takraaye to lagta hai ke tum ho,

Orrhe huye taaron ki chamakti huyi chaadar,
Nadi koi bal khaaye to lagta hai ke tum ho,

Jab raat gaye koi kiran mere baraabar,
Chup-chaap si so jaye to lagta hai ke tum ho..



Chand nikle ga, Suna hai EID bhi hogi..

Video Shayari

Suna hy chand nikle ga,
Suna hy eid bhi hogi,
Humein to aasman pe door tak,
Kuch bhi nahi dikha tha,
Kahan wo chand nikle ga,
Ke jis ke wasty hum ne,
Kabhi palkein nahi jhapki,
Wo jis ka rasta takty,
Hy guzari zindagi apni,
Nahi kuch bhi khabar ke wo,
Nikly ga to kab aakhir…..??
Humari muntazir aankhon ko,
Us ki deed kab hogi,?

Abhi poocho nahin hum se,
Humari eid kab hogi..
Humari eid kab hogi..



Woh aksar mujh se kehti thi, Wafa hai zaat aurat ki..

Video Shayari

Woh aksar mujh se kehti thi,
Wafa hai zaat aurat ki,
Magar jo mard hote hain,
Bohat be’dard hote hain,

Kisi bhanwre ki surat,
Gul ki khushbu loot jate hain,
Suno, tum ko kasam meri,
Riwayat torr dena tum,
Na tanha chorr ke jana,
Na yeh dil torr ke jana,

Magar phir yu’n hua ik din,
Mujhe anjaan raste per,
Akela chorr kar usne,
Mera dil torr kar usne,

Mohabbat chorr di usne,
Wafaa hai zaat aurat ki,
Riwayat torr di us ne..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Video Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari