Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Khizaan ki rut main gulaab lehja bana ke rakhna kamaal yeh hai..

Ghazal Shayari

Khizaan ki rut main gulaab lehja bana ke rakhna kamaal yeh hai,
Hawa ki zad main diya jalana, jala ke rakhna kamaal yeh hai,

Zara si larzish pe toRr dete hain sab talluq zamane wale,
So aese weson se bhi talluq, bana ke rakhna kamaal yeh hai,

Kisi ko dena yeh mashwra ke, woh dukh bichaRrne ka bhool jaye,
Aur aese lamhe main apne aansuu chupa ke rakhna kamaal yeh hai,

Khayal apna, mizaj apna, pasand apni, kamaal kya hai,
Jo yaar chahe woh haal apna bana ke rakhna kamaal yeh hai,

Kisi ki raah se khuda ki khatir, utha ke kante, hatta ke pathar,
Phir us ke aage nigaah apni jhuka ke rakhna kamaal yeh hai,

Woh jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi laRrkhaRraye, shikast khaye,
Labon pe apne woh muskurahat, sajaa ke rakhna kamaal yeh hai,

Hazaar taaqat ho, sau daleelen hon, phir bhi lehje main aajzi se,
Addab ki lazzat, dua ki khushbu, basaa ke rakhna kamaal yeh hai..



Bohat mushkil safar hai baba..

Ghazal Shayari

Na ham-nafas hai, na humsafar hai baba,
Yeh makaan ab darbadar hai baba,

Na din main chand dooba, na raat main suraj nikla,
Yaani meri har dua be-assar hai baba,

Yeh mera inaam hai, ya saza hai meri,
Mera marz hi mera charagar hai baba,

Inhe apni ainak to zara khairaat kijiye,
Zamana bohat tang-nazzar hai baba,

Yeh kuch log maseeha kyun bane phirte hain,
Jab inhe kuch nahin khabar hai baba,

Jab tak hath main hath tha, sab sahi tha,
Baaki bohat mushkil safar hai baba,

Jis aik mahine main sadiyan jam jati hain,
Woh sitam-gar december hai baba,

Yeh duniya wale sehraa jante hain jisse,
Yuun to mitti ka samandar hai baba,

Woh khawb jise sab ankhon main dhoond rahe hain,
Woh khawb ab khawb ke andar hai baba,

Jo banayi theen maine samandar paar karne ko,
Woh kaghaz ki kashti kidhar hai baba..

Ahmed Ahyan Moosa



Ehbab ki surat ho ke aghyaar ki surat..

Ghazal Shayari

Ehbab ki surat ho ke aghyaar ki surat,
Har chehre main ati hai nazar yaar ki surat,

Jis ankh ne dekha tujhe, us ankh ko dekhoon,
Hai is ke siwa kya tere deedar ki surat,

Pehchan liya tujh ko teri sheesha-gari se,
Aati hai nazar fun se hi funkaar ki surat,

Surat meri ankhon main samaye gi na koi,
Nazron main bassi rehti hai sarkaar ki surat,

Dil hath pe rakha hai koi hai jo khareede,
Dekhoon to zara main bhi kharidaar ki surat,

Ashqon ne bayan kar hi diya raz-e-tamanna,
Hum soch rahe thay abhi izhar ki surat,

Wasif ki sar-e-dar pukara hai kisi ne,
Inkaar ki surat hai na izhaar ki surat..



Tanha tanha dukh jhelen ge mehfil mehfil gayen ge..

Ghazal Shayari

nida fazli poetry

Tanha tanha dukh jhelen ge mehfil mehfil gayen ge,
Jab tak ansuu paas rahen ge tab tak geet sunayen ge,

Tum jo socho woh tum jano hum to apni kehte hain,
Dair na karna ghar aane main warna ghar kho jayen ge,

Bachon ke chote hathon ko chand sitare chhune do,
Chaar kitaben parh kar yeh bhi hum jese ho jayen ge,

Achi surat wale sare pathar-dil hon mumkin hai,
Hum to us din raaye dain ge jis din dhoka khayen ge,

Kin rahon se safar hai asan kaun sa rasta mushkil hai,
Hum bhi jab thak kar bethen ge auron ko samjhayen ge..

تنہا تنہا دکھ جھیلیں گے محفل محفل گائیں گے



Sar hi ab phorriye nadamat main..

Ghazal Shayari

Sar hi ab phorriye nadamat main,
Neend aane lagi hai furqat main,

Hain daleelen tere khilaaf magar,
Sochta hoon teri himayat main,

Ruuh ne ishq ka fareb diya,
Jism ko jism ki adavat main,

Ab faqat aadaton ki varzish hai,
Ruuh shamil nahin shikayat main,

Ishq ko darmiyan na lao ke main,
Cheekhta hoon badan ki usrat main,

Yeh kuch asaan to nahin hai ke hum
Roothte ab bhi hain murawat main,

Woh jo tameer hone wali thi,
Lag gayi aag us imarat main,

Zindagi kis tarah bassar ho gi,
Dil nahin lag raha mohabbat main,

Hasil-e-kun hai yeh jahan-e-kharab,
Yahi mumkin tha itni ujlat main,

Ae khuda jo kahin nahin maujood,
Kya likha hai hamari qismat main..

سر ہی اب پھوڑیے ندامت میں - جون ایلیا



Kuch is adaa se aj woh pehlu-nasheen rahe..

Ghazal Shayari

Kuch is adaa se aj woh pehlu-nasheen rahe,
Jab tak hamare pas rahe hum nahin rahe,

Imano-o-kufr aur na duniya-o-deen rahe,
Ae ishq-e-shad-bash ke tanha humeen rahe,

Aalam jab ek haal pe qaayem nahin rahe,
Kya khaak eitbar-e-nigah-e-yaqeen rahe,

Meri zaban pe shikwa-e-dard-afreen rahe,
Shayar mere havaas thikane nahin rahe,

Kis dard se kisi ne kaha aaj bazm main,
Acha yeh woh nang-e-mohabbat yahin rahe..



Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roye..

Ghazal Shayari

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roye,
Mere azmane wale mujhe aazma ke roye,

Koi aesa ehl-e-dil ho ke fasaan-e-mohabbat,
Main usey suna ke roo’un, woh mujhe suna ke roye,

Meri aarzuu ki duniya dil-e-naatwan ki hasrat,
Jese kho ke aaj shaadman they, usey aaj paa ke roye,

Teri bewafaon per, teri kaj’adaaon per,
Kabhi sar jhuka ke roye, kabhi moun chupa ke roye,

Jo suni anjjuman main shab-e-gham ki aap-beeti,
Kayi ro ke muskuraye kayi muskuraa ke roye..

مری داستان_حسرت وہ سنا سنا کے روئے



Aahatt si koi aaye to lagta hai ke tum ho..

Ghazal Shayari

Aahatt si koi aaye to lagta hai ke tum ho,
Saaya koi lehraaye to lagta hai ke tum ho,

Jab shaakh koi haath lagaate hi chaman main,
Sharmaaye lachak jaaye to lagta hai ke tum ho,

Sandal si mehkti huyi pur-kaif havaa ka,
Jhonka koi takraaye to lagta hai ke tum ho,

Orrhe huye taaron ki chamakti huyi chaadar,
Nadi koi bal khaaye to lagta hai ke tum ho,

Jab raat gaye koi kiran mere baraabar,
Chup-chaap si so jaye to lagta hai ke tum ho..



Dukh apna agar hum ko batana nahin ata..

Ghazal Shayari

Dukh apna agar hum ko batana nahin ata,
Tum ko bhi to andaza lagana nahin ata,

Pohancha hai jo bazurgon ke bayanon se jo hum tak,
Kya baat huyi kyun woh zamana nahin ata,

Main bhi usay khonay ka hunar seekh na paya,
Us ko bhi mujhe choRR ke jana nahin ata,

Is choTtay zamane ke baRre kese bano ge,
Logon ko jab aapas main laRrana nahin ata,

Dhoonde hai to palkon pe chamakne ke bahane,
Aansuu ko meri aankh main aana nahin ata,

Tareekh ki aankhon main dhuaan ho gaye khud hi,
Tum ko to koi ghar bhi jalana nahin ata..

دکھ اپنا اگر ہم کو بتانا نہیں آتا - وسیم بریلوی



Jalte jalte bujh gayi ek mom-bati raat ko..

Ghazal Shayari

Jalte jalte bujh gayi ek mombati raat ko,
Mar gayi faaqa-zada masoom bachi raat ko,

Aandhiyon se kya bachaati phool ko kanton ki baaRR,
Sehn main bikhri hui thi pati pati raat ko,

Kitna boseeda dareeda pairahann hai zeb-tan,
Woh jo charkha kaaTti rehti hai larki raat ko,

Sehn main ik shor sa har ankh hai hairat-zada,
ChooRRiyan sab toRR deen dulhan ne pehli raat ko,

Jab chali TThandi hawaa bacha thiTThar kar reh geya,
Maan ne apne laal ki takhti jalaa di raat ko,

Waqt to har ek dar par dastaken deta raha,
Ek saa-at ke liye jaagi na basti raat ko,

Margh-zar-e-shayari main gum raha sibt-e-ali,
So gayi raah dekhte beemar beewi raat ko..

جلتے جلتے بجھ گئی اک موم بتی رات کو - سبط علی صبا


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari