Ghazal Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.Ghazal Shayari Collection
Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.
Beqarari si beqarari hai..
Ghazal Shayari
Beqarari si beqarari hai,
Vasl hai aur firaq taari hai,
Jo guzari na ja saki hum se,
Hum ne woh zindagi guzari hai,
Nighare kya huye ke logon pr,
Apna saaya bhi ab to bhari hai,
Bin tumhare kabhi nahin ayi,
Kya meri neend bhi tumhari hai,
Aap mai kaise aaon main tujh bin,
Saans jo chal rahi hai aari hai,
Us se kahiyo ke dil ki galiyon main,
Raat din teri intezari hai,
Hijr ho ya visaal ho kuch ho,
Hum hain aur us ki yadgari hai,
Ik mehak samt-e-dil se aayi thi,
Main yeh samjha teri sawari hai,
Hadson ka hisab hai apna,
Warna har aan sab ki baari hai,
Khush rahe tu ke zindagi apni,
Umar bhar ki umeed-vaari hai..
Dost ban kar bhi nahi sath nibhaane wala..
Ghazal Shayari
Dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala
Wohi andaz hay zalim ka zamane wala
Ab usay log samjhte hain giraftar mera
Sakht naadim hay mujhe daam main lane wala
Subah dam choRR geya nikhat-e-gull ki surat
Raat ko guncha-e-dil may simatt aane wala
Kya kahen kitne marasim they hamare us se
Wo jo ik shakhss hai muh phair kay jaane wala
Tere hote huye aa jati thi sari dunia
Ajj tanha hoon to koi nahi aane wala
Muntazir kiss ka hoon tooti hoi dehleez pe main
Kon aye ga yahan, kon hai aane wala
Kya khabar thi jo meri jaan may ghulla hay itna
Hay wohi mujh ko sar-e-daar bhi laane wala
Main ne dekha hay baharon may chaman ko jalte
Hai koi khawb ki tabeer batane wala
Tum takaluf ko bhi ikhlaas samjhte ho Faraz
Dost hota nahi har hath milane wala
Chehre pe mere zulf ko phelao kisi din..
Ghazal Shayari
Chehre pe mere zulf ko phelao kisi din,
Kya roz garajte ho baras jao kisi din,
Razon ki tarah utro mere dil main kisi shab,
Dastak pe mere hath ki khul jao kisi din,
PeRRon ki tarah husn ki barish main naha loon,
Baadal ki tarah jhoom ke ghar aao kisi din,
Khushbuu ki tarah guzro mere dil ki gali se,
Phoolon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din,
Guzren jo mere ghar se to urr jaaye sitare,
Is tarah meri raat ko chamkao kisi din,
Main apni har ik saans usi raat ko de doon,
Sar rakh ke mere seene pe so jao kisi din..
Junoon se guzarne ko jee chahta hai..
Ghazal Shayari
Junoon se guzarne ko jee chahta hai,
Hansi zabt karne ko jee chahta hai,
Jahan ishq main doob kar reh gaye hain,
Wahin phir ubharne ko jee chahta hai,
Woh hum se khafaa hain hum un se khafaa hain,
Magar baat karne ko jee chahta hai,
Hai muddat se be-rang naqsh-e-mohabbat,
Koi rang bharne ko jee chahta hai,
Bayeen khud-sari woh ghuroor-e-mohabbat,
Unhen sajda karne ko jee chahta hai,
Qazaa muzhada-e-zindagi le ke aye,
Kuch is tarah marne ko jee chahta hai,
Nizaam-e- do–aalam ki ho khair ya rab,
Phir ik aaah karne ko jee chahta hai,
Gunah-e-mukarar shakeel Allah Allah,
BigaRR kar sanwarne ko jee chahta hai..
Parinda qaid main qul aasman bhool geya..
Ghazal Shayari
Parinda qaid main qul aasmaan bhool geya,
Rihaa to ho geya lekin uRRan bhool geya,
Mere shikaar ko tarkash main teer laya magar,
Woh meri jaan ka dushman kamaan bhool geya,
Usay to yaad hai sara jahan mere siva,
Main us yaad main sara jahan bhool geya,
Woh shakhss zindagi bhar ka thaka hua tha magar,
Jo paaon qabar main rakhe thakaan bhool geya,
Ghareeb-e-shehr ne rakhi hai aabru warna,
Ameer-e-shehr to urdu zabaan bhool geya,
Tamam shehr ka naqsha banane wala raza,
Junoon-e-shauq main apna makaan bhool geya..
Kuch to tanhai ki raaton main sahara hota..
Ghazal Shayari
Kuch to tanhai ki raton main sahara hota,
Tum na hote na sahi zikr tumhara hota,
Tark-e-duniya ka yeh daava hai fazool hai,
Baar-e-hasti to zara sar se utara hota,
Woh agar aa na sake maut hi aayi hoti,
Hijr main koi to gham-khvar hamara hota,
Zindagi kitni massarat se guzarti ya rab,
Aish ki tarah agar gham bhi gavaara hota,
Azmat-e-girya ko kotah-nazzar kya samjhen,
Ashk agar ashk na hota to sitara hota,
Gham-e-ulfat jo na milta gham-e-hasti milta,
Kisi surat to zamane main guzara hota,
Kis ko fursat thi zamane ke sitam sehne ki,
Gar na us shokh ki ankhon ka ishara hota,
Koi hamdard zamane main na paya akhtar,
Dil ko hasrat hi rahi koi hamara hota..
Jis ka dard baTTao ge..
Ghazal Shayari
Jis ka dard baTTao ge,
Us se ranj uTThao ge,
Sab ko dost banao ge,
Sab ko dushman pao ge,
Deewane ko mat samjhao,
Deewane kehlao ge,
Door na jao nazron se,
Duniya main kho jao ge,
Mehfil mehfil chupte ho,
Khalvat khalvat pao ge,
Tan-asani kehti hai,
Mushkil main paRR jao ge,
Mohsin jo samjhate ho,
Khud ko bhi samjhao ge..
Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko..
Ghazal Shayari
Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko,
Zakham khulte hain aziyat nahin hoti mujh ko,
Ab koi aye chala jaye main khush rehta hoon,
Ab kisi shakhss ki aadat nahin hoti mujh ko,
Aesa badla hoon tere shehr ka paani pee kar,
Jhoot boloon to nadamat nahin hoti mujh ko,
Hai amaanat main khayanat so kisi ki khatir,
Koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko,
Itna masroof hoon jeene ki havass main mohsin,
Saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko..
Jis ki jhankaar main dil ka araam tha, woh tera naam tha..
Ghazal Shayari
Jis ki jhankaar mein dil ka araam tha, woh tera naam tha,
mere honton pe raqsaaan jo ek naam tha, woh tera naam tha,
Mujh se mansub thi dastaanen keyi ek se ek nayi,
Khubsurat magar jo ek ilzaam tha, woh tera naam tha,
Kese karta kisi aur ki guftagu yaad tha sirf tu,
Mujh ko mere junuun ka jo enaam tha, woh tera naam tha,
Subh se shaam tak jo mere pass thi woh teri aas thi,
Shaam tak jo kuch lab-e-baam tha, woh tera naam tha,
Dost jitne the na-aashnaa ban gaye paarsaa ban gaye,
Jo mere saath ruswa sar-e-aam tha, woh tera naam tha,
Gham ne tareekiyon mein uchaala mujhe maar daala mujhe,
Ek nayi chaandni ka jo pegham tha, woh tera naam tha,
Tere hi dam se hai yeh qateel aaj bhi shayari ka wali,
Uss ki ghazlon mein kal bhi jo ilhaam tha, woh tera naam tha..
Roz kehna ke ab nahin karna..
Ghazal Shayari
Roz kehna ke ab nahin karna,
Roz phir rabta wahin karna,
Lakh yeh aqal aqal sikhlaye,
Is mohabbat ne kab yaqeen karna,
Saadgi dekhiye mohabat ki,
Ik dagha umar bhar makeen karna,
Door manzil se aur le jaye,
Usi rehbar ko hum-nasheen karna,
Aadaten khoob hain mohabbat ki,
Badshahon ko be-zameen karna,
Bas mohabbat yeh soch kar kijay,
Aap ko aur kuch nahin karna,
Shayari yuun kharab hai abrak,
Shab-e-hijran ko bhi haseen karna,
Apne likhe pe to amal karna,
Aesi ghalti na phir kahin karna..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.