Urdu Ghazal Shayari
This website contains Urdu Ghazal Shayari. Feel free to add your own Urdu Ghazal Shayari here.Advertisement
Ghazal Shayari
Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.
koi haath nahi haali hai
Ghazal Shayari
koi haath nahi haali hai
baba ya nagree kaisi hai
koi kisi ka dard na janay
sab ko apni apni paree hai
is ka bhi kuch haq hai aakhir
is na mujh sa nafrat ki hai
phool dawa jaisay mehak hain
kisi bemar ki subah hui hai
kaisay katay ki tanhaa tanhaa
itni saree umr paree hai
hum donon ki khoob nibhay gi
main bhi dukhi hn wo bhi dukhi hai
ab gham sa kia naata torrain
zaalim bachpan kaa saathi hai
dl ki haamooshi par na jao
raakh k neechay aag dabi hai
…
seenay main aag, aag main aahan bhi chahiya
Ghazal Shayari
seenay main aag, aag main aahan bhi chahiya
raham jaham barasta baaton sa sawan bhi chahiya
talwaar tornay sa talaafi kahan hui
in buzdiloon k haathoon main kangn bhi chahiya
seenay main aaftaan sa ek dil zaroor ho
har ghar main ek dhop ka aanghan bhi chahiya
bachoon k saath jharion main jugno chahiya
dl k mamlaat main bachpan chahiya
hm aadmi hain ya koi be hs chatan hain
dl main kisi k naam ki darhkan bhi chahiya
rah rawayatioon ki roondanay chaloon
sar par mujhe bazrgoon ka daamn bhi chahiya
…
sar sa chaadar badan sa qaba la gayee
Ghazal Shayari
sar sa chaadar badan sa qaba la gayee
zindagi hum faqeeeron sa kia lagayee
meri muthi main sookhay howay phool hain
hooshbo ko uraa kar hawa lagayee
main samndar ka seena ma chatan tha
raat ek moj aaye bahar la gayee
hum to kaghaz thay askoon sa bheegay hua
kion charaaghoon ko loo tak hawa la gayee
chaand na raat mujh ko jhuka kar kaha
aik larki tumhara pta la gayee
…
kahan aankhon ki ya soghaat ho gi
Ghazal Shayari
kahan aankhon ki ya soghaat ho gi
naya loog hon gay nae baat ho gi
musaafr ho to tum bhi musaafr hain to hm bhi
kisi morr par phr mulaqaat ho gi
sadaoon ko ilfaaz milnay na pain
na baadl gharain gay na barsaat ho gi
charaaghoon ko aankhoon main mahfooz rakhna
baree dorr tak raat ki raat ho gi
azl sa abd tak sfr hi sfr hai
kaheen subah ho gi kaheen raat ho gi
…
sooraj bhi banda ho ga dekho meray baazoon main
Ghazal Shayari
sooraj bhi banda ho ga dekho meray baazoon main
is chaand ko bhi rakhna sooraj k taraazo main
ab hum sa sharafat ki umeed na kar dena
paani nahi mil sakta tapti huii haalo main
tareek samandr kay seenay main gohar dhoond o
jgno bhi chamaktay hain barsaat k aanso main
sab dbr o haram chootay dil daar sanam chootay
hm aahi gaya duniya agr tera jaado main
huabeeda gulaaboon par ya oos bichi kaisay
ahsaas chamakta hai asloob ki hooshboo main
…
guloon ki tarah hum na zindagi ko is qadar jana
Ghazal Shayari
guloon ki tarah hum na zindagi ko is qadar jana
kisi ki zulf ma aik raat sona or bichar jana
agr aisa kia to zindagi par hrf aya ga
hawaoon sa lipatna, tilioon sa choom kar jana
dhank kay rakh dia tha baadloon ko jn parindoon nay
inhain kis na sikhaaya tha apnay saya sa bhi dar jana
khaan tak ya dia bemaar kamray ki fizza badlay
kabhi tum aik mithi dhoop in taaqatoon main bhar jana
isi main aafiat hay ghar main apnay chain sa betho
kisi ki smt jana ho to rastay main utr jao
…
Uss se mohabbat bohat puraani hy
Ghazal Shayari
Nayi tarha say nibhane ki dil ne thaani hy
Wagarna us se mohabbat bohat puraani hy
“KHUDA” wo din na dikhaaye keh main kisi se sunoon
Ke tu ne bhi gham-e-duniya se haar maani hy
Zameen pe reh k sitaare shikaar kerte hyn
Mizaaj ehl-e-mohabbat ka aasmaani hy
Humain aziz ho kyon.ker na sham-e-gham k yehi
Bicharne waale , teri aakhri nishaani hy
Utarr pare ho to darya se poochna kaisa
Ke saahiloon se udhar kitna taiz paani hy
Bohot dinon main teri yaad orh ker utri
Ye sham kitni sunehri hy kia suhaani hy
Main kitni dair tak usay sochta rahoon
Ke jaise us ka badan bhi koi kahani hy…
…
jgno koi sitaaron ki mahfl main kho gya
Ghazal Shayari
jgno koi sitaaron ki mahfl main kho gya
itna na kar mlaal jo hona tha ho gaya
parward-e-gaar to janta hai dilooon ka haal
main ji na paoon ga jo usa kuch bhi hi gaya
ab usko dekh kar naheen dharkay ga mera dil
kahna ka mujh ko ya bhi sabaq yaad ho gaya
ab isko dekh kar naheen dharkay ga mera dil
kahna k mujhe ko ya bhi sabaq yaad ho gaya
baadl utha tha sab ko rlaanay kay waastay
aanchal bhi kho gya kaheen daamn bhi khoo gaya
aik larki aik larkay kay kaandhay par so gayee
main ujli dhundi yaadon k kahray main kho gaya
…
taaron ki chalmanoon say koi jhaankta bhi ho
Ghazal Shayari
taaron ki chalmanoon say koi jhaankta bhi ho
is kaainaat main muntazir koi naya bhi ho
itni siaah raat main kis ko sadayain dn
aisa charaagh day jo kabhi bolta bhi ho
darwaish koi aaya to aaram sa rhay
ghar bhi tera faqeer ka itna bra to ho
saaray pahaar kaat kay milnay aaon ga
haan main intazaar ka darbaar ka bhi hoon
rangoon ki kia bahaar hai pathar main
laikin meri zameen ka aik hisa hara bhi ho
…
msaafr ki rastay badaltay rhay
Ghazal Shayari
msaafr ki rastay badaltay rhay
muqadar main chalnaa tha chaltay rhay
koi phool sa haath kaandhay par thay
meray haath sholoon par chaltay rha
meray raah main ujaala rha
diay iski aankhoon main jaltay rhay
muhabbat, adawat, wafa, ba rohi
kraaya k ghar thay bdaltay rhay
suna hai unhain bhi hawa lag gayee
hawaaon ka rh jo badaltay rhay
wo kia tha jisay hum na thukraaa dia
mgr umr bhar haath miltay rhay
…
alzaaam, bewaafaee kay in ko day rha hn
Ghazal Shayari
alzaaam, bewaafaee kay in ko day rha hn
shak ho rha hai mujh ko main hud hi bewafa hn
har jsm gul farooshan ab markaz e nzr hai
tum sa bichar kar kitna aawaaraah ho gaya hn
is shaam bay ksi main dl ki khabar nahi hai
kab say kahan kahan main awaaz day rha hn
beetay hua donon azm yaad aagya hain
unko galay lga kar ma aaj ro pra hn
is lahjaa hooshi main afsaana-e-shab-e-ghm
kuch tum bhi bhooltay ho kuch main bhi bhoolta hn
…
tum na dekha kidhr gaya taaray
Ghazal Shayari
tum na dekha kidhr gaya taaray
kis ki awaaz par gaya taaray
ya kaheen shahr e aarzoo to nahee
chaltay chaltay thehr gaya taaray
aaj aasaar e subh sa pahla
waadion ma utr gaya taaaray
sahmay sahmay bujhey hua maghmoom
sar jhukaayay guzar gaya taaray
badr kch waan ki bhi hbr hay tumhain
aanchaloon par bikhr gaya taaray
…
apnay phaar ghairoon k gulzaar ho gaya
Ghazal Shayari
apnay phaar ghairoon k gulzaar ho gaya
ya bhi hamari raah kay dewaar ho gayay
phal pak chuka hai shaah par garmi ki dhoop main
hum apnay dil ki aag main tayar ho gayay
hum pahalay narm ptoon ki aaik shaah thay mgr
kaatay gaya hain itnay k talwaar ho gayay
bazaar main bki hui cheezon ki maang hai
hum is lia hd apnay hareedar ho gayay
taaza lahoo bhara tha sunahray gulaab main
inkaar karnay waalay gunaahgaar ho gayay
wo sarkashoon kay paoon ki zanjeer thay kabhi
ab buzdiloon kay haathon main talwaar ho gayay
…
Phool Kay Dil Pe Zarb Kaari Hai
Ghazal Shayari
Phool Kay Dil Pe Zarb Kaari Hai
Khushboouon Ki hawa Se Yaari Hai
Hum Se Qaatil Ke Khaal-o-Khad Poocho
Hum Nay Maqtal Main Shab Guzaari Hai
Tum Jo Chaaho Tou Hum Palat Jaayein
Yeh Safar Ab Bhi Ikhtiyaari Hai
So Gayein Sheher Ki Sabhi Galiyaan
Ab Mere Jaagnay Ki Baari Hai
Shaam Ki Be-yaqeen Aankhon Main
Kaifiyat Saari Intezaari Hai
Wasal Ko Kaise Mautbar Samjhein
Hijr Ka Khauf Dil Pe Taari Hai
Aaj Tou Dil Ki Baat Kehne Do
Aj Ki Shaam Tou Humaari Hai
…
dhoop khatioon ma utr kar zafraani ho gayee
Ghazal Shayari
dhoop khatioon ma utr kar zafraani ho gayee
sarmay ashjaar ki poshaak dhaani ho gayee
jaisay jaisay umr bhigi sado poshaaki gayee
soot peela, shart niili , taayee dhaani ho gayee
is ki ardo main ab bhi maghrabhi lahjaa mila
kaalay baalon ki rangat zaafaraani ho gayee
saanp k bosay ma kaisa pyaar tha k faatahaa
phr phraa kr ek sadaaya aasmaani ho gayee
narm tahni dhund ki yalghaar ko sahti hui
shaah ki baghoon ma aakar jaadwaani ho gaye
…
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



