Urdu Poets
Ranjish.com has lots of Urdu Urdu Poets Poetry. Feel free to add your own Urdu Poets Shayari here.Urdu Poets Collection
Urdu Poets are known to be great poets. Urdu Poets and their poetry is extremely popular over the urdu readers. We have collected almost every Urdu Poets Poetry here so you can read these urdu poetry and enjoy.
ginti ke mere yaar hain aur yaar bhi kitne
Urdu Poets
ginti ke mere yaar hain aur yaar bhi kitne
choTi si kahani ke hon kirdaar bhi kitne
munkir ko wazahat ke takaluf ki zaroorat
thoRe se to inkaar hain inkaar bhi kitne
aese bhi nahin hain ke usay jeet ke lauTen
maana zara hoshyaar hain, hoshyaar bhi kitne
khuda ko logon ke nazdeek lana chahta tha
Urdu Poets
khuda ko logon ke nazdeek lana chahta tha
main apne gaon main masjid banana chahtha tha
kuch is liye bhi meri khudkushi zaroori thi
main aik umar ka jhagRa miTaana chahta tha
main chahta tha woh rotay main muskura uthe
main us ki aankh se misra churana chahta tha
kisi mazaar ki zeenat bana diya gaya hai
main jis charagh ko suraj banana chahta tha
main is liye bhi zara fasle pe theher gaya
woh mujh se mil ke bohat door jana chahta tha
main chahta tha ke woh mujh se dil ki baat kare
main aik ghaar se pathar haTana chahta tha
ab us ki aankh nahin lag rahi kahin aami
jo saray sheher ki neendain uRana chahta tha
neend ati nahin hai sone ko
Urdu Poets
neend ati nahin hai sone ko
ik bahana mila hai rone ko
tujh ko bhi alvida kiya hum ne
aur kya reh gaya hai khone ko
charaagh jalne lage to hawaa nahin deta
Urdu Poets
charaagh jalne lage to hawaa nahin deta
faqeer hoon main kabhi baddua nahin deta
to kya isi liye duniya nahin tawazun main
woh jurm dekh ke foran sazaa nahin deta
zaroor lutf ka pehlu hai mere jalne main
wagarna uth ke mujhe woh bhujha nahin deta
tu aik bar to kehta ke kash aesa ho
main asmaan zameen se mila nahin deta
yeh kitna waazeh ishara hai bakht Ddhalne ka
main bheek doon to bhikari dua nahin deta
main khaali hath kabhi lauT-ta nahin miqdad
mujhe khushi ke elawa woh kya nahin deta
sher kehne ki aagahi aye
Urdu Poets
sher kehne ki aagahi aye
kash lafzon main dilkashi aye
itni sajeedgi bhi kya karni
koi mar jaye to hansi aye
waqt barbaad ho raha ho mera
aur tohfe main ik ghaRri aye
main khuda se mukaalma chahoon
baat karne ko aadmi aye
saans ka bojh nahin aur lage bhaari bhi
Urdu Poets
saans ka bojh nahin aur lage bhaari bhi
apna dushman bhi main khud, khud se meri yaari bhi
kaam karne ki bhi taufeeq nahin hoti mujhe
mujh se dekhi nahin jaati meri bekaari bhi
samne hai woh magar chhu nahin sakta main usse
hai sahulat bhi muyassar mujhe dushwaari bhi
yeh rawaiya bhi mere sath ajab hai mera
kahin jana bhi nahin aur hai tayaari bhi
jaane wale ko sadaa deta nahin dekhta hoon
bewaqoofi bhi main karta hoon samajhdaari bhi
waqt ka zang badal de ga tere lehje ko
kund ho jaye gi yeh talwaar do dhaari bhi
hamare sar ka jaane kya bana phir
Urdu Poets
hamare sar ka jaane kya bana phir
tumhare dar ka jaane kya bana phir
haqeeqat ban gaya kirdaar mera
kahanigar ka jaane kya bana phir
humen tha apne mar jane se matlab
tere khanjar ka jaane kya bana phir
tamashayi sabhi ghar laut aye
khule manzar ka jaane kya bana phir
imaan se batlayen to kya kuch nahin kehti
Urdu Poets
imaan se batlayen to kya kuch nahin kehti
kehne ko humen khalq e khuda kuch nahin kehti
karti hai faqat mayal awargi hum ko
mu se to kabhi ghar ki fizaa kuch nahin kehti
har moRr pe kehti hai mujhe meri sharafat
kya tujh ko zamane ki hawa kuch nahin kehti
main hoon ke usse kosta phirta hoon shab o roz
woh hai ke sar -e- farsh -e- azaa kuch nahin kehti
badzan to nahin hum se kahin gardish e doraan
kyun tanz o malamat main naya kuch nahin kehti
hijar khud hi haraam karta hai
Urdu Poets
hijr khud hi haraam karta hai
khud hi qaayam nizaam karta hai
teri yadon ke taur par aksar
wajd main dil kalaam karta hai
dekh kar shaam ne kiya sajda
aayina bhi taam karta hai
ashk behte nahin main pyasa hoon
kon pani haraam karta hai
ishq daftar ka woh mulazim hoon
jo moatal hai kaam karta hai
jaan pehchan baRrh gayi itni
hijar jhuk kar salaam karta hai
tera nashad jee udasi se
ehtraman kalaam karta hai
azaadi ko Ttaal rakha hai saalon par
Urdu Poets
azaadi ko Ttaal rakha hai saalon par
kuch vaadon ki gard jammi hai taalon par
dhoop chhanni hai jaali wali khiRrki se
aur jaali ka naqsha us ke gaalon par
machli ne khush ho kar paani tyaag diya
machyaaron ka khoon laga tha jaalon par
dDhalti umar ne har ik yaad chupa li hai
bas ik jhoot ka rang chaRrha hai baalon par
maan ne mujh ko aaj kuch aese dekha hai
jaise rab ka dheyan paRre bad-haalon par
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Urdu Poets.